|
|
Articles: Humour | Corporate Bhagavadgeeta - Mr. Srinivasa Rao
| |
This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell in GEETA SAAR
> > Hey PARTH,
> > Increment nahin mila, bura hua
> > Salary cut ho raha hai, bura ho raha hai
> > Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga...
> > Tum pichhla review na hone ka paschataap na karo
> > Tum agle review na hone ki chinta na karo
> > Recession chal raha hai...
> > Tumhare pocket se kya gaya jo tum rote ho ?
> > Tum company ke liye kya business laye the jo tumne kho diya ?
> > Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo fail ho gaya ?
> > Tum koi experience le kar nahin aaye the...
> > Jo experience liya company se liya...
> > Jo project kiya company ke liye...
> > Degree le kar aaye, experience lekar chale jaoge...
> > Jo function aaj tumhara hai,
> > Wo kal kisi aur ka tha... parson kisi aur ka hoga...
> > Tum ise apna samajh kar kyon magan ho rahe ho
> > Hey Paarth, Yahi khushi tumhare tension ka kaaran hai...
> > Kyon wyarth tension lete ho, kis se wyarth darte ho
> > Kaun tumhein nikaal sakta hai ?
> > Policy change to company ka rule hai
> > Jise tum policy change kehte ho, woh to
> > Management ki trick hai...
> > Ek pal mein tum Increment ke baare mein sochte ho
> > Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho...
> > Review, increment etc. etc. sab mann se hataa do
> > Vichar se mita do, phir company tumhari hai, tum company ke ho...
> > Na yeh increment wagerah tumhare liye hain,
> > na tum iske kabil ho, Parantu job secure hai,
> > aisa socho phir tumhein tension kyon hoga ?
> > Tum apne aap ko Company ko arpit kar do
> > Yahi sabse bada Golden Rule hai...
> > Jo is Golden Rule ko janta hai
> > Wo review, incentive, recession,
> > retrenchment aadi Bhramon se Sada sarvada muqt hai.
> > Chal UTH, Kaam Kar, Promotion Ki Chinta mat kar
> > Parth. Karm hi Tera Bhagya hai.....
- Corporate Bhagawan
| Be first to comment on this Article!
| |
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|