
|
|

General Forum: Poetry | Sher-o-Shayari | |
| ee shayari lu anni meekela thelustunnai? mee sontha kavithwam aithe kadu kadaa?
Posted by: Mrs. Sandhya At: 29, Jan 2003 11:10:05 AM IST kabhi Kud pe, kabhi haalaat pe ronaa aayaa
baat nikli, to har ik baat pe ronaa aayaa
ham to samjhe the ki ham bhul gaye hain unko
kyaa huaa aaj, ye kis baat pe ronaa aayaa.....
Posted by: Saleem At: 29, Jan 2003 11:01:23 AM IST kabhi palkon pe aansuu hain
kabhi lab pe shikaayat hai
magar ay zindagi phir bhi
mujhe tujhse mohabbat hai ......
Posted by: Saleem At: 29, Jan 2003 10:58:32 AM IST Kam se kam maud se to sie ummed nahi thi
jindagee tumne diye to kya diya, dohke pe dhoka....
Posted by: Saleem At: 28, Jan 2003 12:59:29 PM IST woh samajhte hain dil tod diya
to hum dead hain
woh nahin jaante ki is dil main
aur kitne thread hain
Posted by: Mr. M.S.Reddy At: 17, Jan 2003 3:05:02 PM IST Maine tujhe pyar kiya ,saraswathi samajh kar
Tere baap ne mujhe pita,agarbatthi samajh kar
Posted by: Mr. M.S.Reddy At: 17, Jan 2003 2:59:01 PM IST Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain....
Tum hoti to kaisa hota,
Tum yeh kahti, tum woh kahti,
Tum is baat pe hairaaan hoti, tum us baat pe kitna hasti,
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota,
Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan, sitarain hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sonchta hoon main kab se gum sum - Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......magar yeh dil hai ke kah raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !
Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi......
Sab ko bata dain.........
Posted by: Saleem At: 17, Jan 2003 1:11:09 PM IST maut tuu ek kavitaa hai .
mujhse ek kaviitaa kaa vaadaa hai milegii mujhko ..
Duubtii nabzon mein jab dard ko neend aane lage
zard saa cheharaa liye chaand ufak tak pahunche
din abhii paanii mein ho raat kinaare ke kareeb
na abhii andheraa ho na ujaalaa ho
na raat na din
jism jab khatm ho aur ruuh ko saans aaye....
mujhse ek kaviitaa kaa vaadaa hai milegii mujhko ..
Posted by: Saleem At: 17, Jan 2003 1:08:10 PM IST thaarikh doondoon shaadi ki,
thaarikh doondoon shaadi ki,
yaa doondoon teri mauth ki
waah!! waah!
(mere jaisa)
Posted by: Mr. Ajay Mohan Rao Dharanipathi At: 15, Jan 2003 0:03:06 AM IST thaarikh doondoon shaadi ki,
thaarikh doondoon shaadi ki,
yaa doondoon apni mauth ki
waah!! waah!
(imandhari)
Posted by: Mr. Ajay Mohan Rao Dharanipathi At: 15, Jan 2003 0:02:36 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|