
|
|

General Forum: Hyderabad | funny shayari............ | |
| very good vijay,
maine pyar kiya ek ladki ko gulab samajhkar
uske baap ne mara mujhe tabla samajhkar
Posted by: Mr. Venkat N At: 22, Aug 2003 11:13:48 PM IST Daaru jokes..
----------------
Nashe se Junnon badhta hai
Junoon se takat badhti hai
Takat se daulat badhti hai
aur daulat se izzat......
is liye izzat kamane ke liye
daru peena bahut zaroori hai.
mast raho masti main
aag lagey basti main
piyo daru sasti main
Posted by: విజయ్ At: 13, Jul 2003 4:43:35 AM IST Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
Dil jalati hai, par honto se to lagti hai.
Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehta Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Darre, Usse Shohar Kehte Hain.
Posted by: విజయ్ At: 9, Jul 2003 6:51:19 AM IST Aisi apni Wife ho
--------------------
Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhid me sab kahe side ho, side ho,
Bambai, Delhi ya Gujarat ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.
Padosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner ke time candle light ho,
Hum me tum me kabhi na koi fight ho,
Milane ke baad dil delight ho,
Yeh kavita padhne ke baad log kahe "chikne, tum right ho",
Aisi apni Wife ho.
kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho
agar aisi apni wife ho
to kya hasin life ho
har kisi ki yahi farmaish ho
kudrat ki bhi aajmaish ho
khudah ke software mein bhi bug ki gunjaish ho
ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
aisi apni wife ho!
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 3:44:28 PM IST Aisi apni Wife ho
--------------------
Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bhid me sab kahe side ho, side ho,
Bambai, Delhi ya Gujarat ki paidaish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.
Padosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner ke time candle light ho,
Hum me tum me kabhi na koi fight ho,
Milane ke baad dil delight ho,
Yeh kavita padhne ke baad log kahe "chikne, tum right ho",
Aisi apni Wife ho.
kaash yeh concept .0001 percent bhi right ho
agar aisi apni wife ho
to kya hasin life ho
har kisi ki yahi farmaish ho
kudrat ki bhi aajmaish ho
khudah ke software mein bhi bug ki gunjaish ho
ay kaash, kahin to ek aisi paidaish ho
aisi apni wife ho!
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 5:02:27 AM IST ANGDAYEE WOH LETI HAI DUM MERA NIKAL JATA HAI......
WAH!WAH!WAH!WAH!
ANGDAYEE WOH LETI HAI DUM MERA NIKAL JATA HAI..........
WAH!WAH!WAH!WAH!
ARE ZAALIM DEODRENT LAGAANE ME TERA KYA JAATA HAI?
Patharr kyun marte ho, pura pahaar maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do
Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha ke chal diye
Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya
Woh ladki kitni pyaari thi, jis ko aankh maari thi
Woh sendal kitni bhaari thi, jo us ney sar per maari thi
Dharti so rahi hain,
AASMAN so raha hain.
DHARTI so rahi hain,
AASMAN so raha hain
Nonsense! Yeh sab kya ho raha hai?
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 5:01:04 AM IST Few more on Computers....
Aisa bhi nahin hai ke, I don't likeyour face
Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space
Ghar se nikalti ho tum jab, pehen ke evening gown
Too many requests se, ho jaata hai server down
Ho gayi galti humse, click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!
Tumhaara intezaar karte karte, main so gaya
Yeh dekho mera connection, time out ho gaya
Main tumhein pyaar kyun karoon, tum nahi ho Ash,
Phir bhi tumhe dekh kar mera, system hota hai crash
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 5:00:13 AM IST Software Ke Phool
Guru Dutt is reborn and sets up a Software firm.
He makes a film, called 'Software ke phool'.
Sahir Sahab likewise revises his old song for the new venture.
It goes like:
yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
yeh basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi,
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor mere saamne se
hataa daalo yeh modemtumhaara hai tumhi sambhaalo
yeh computer yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?
Vijay
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 4:23:57 AM IST Love and Computers
roz subha hum karte hai
itne pyar se unhe good morning
woh humhe ghoor kar dekhte hain
jaise 0 error but 5 warning
tumhare samne hain itne sample
kabhi hamein bhi pick karo
hamare pyar ke icon pe
kabhi to click karo
woh samajhte hain dil todh diya
to hum dead hain
woh nahin jaante ki is dil main
aur kitne thread hain
shayad mere pyar ko taste
karna bhool gaya
dil ko aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaya
infy kee ladkiyaan sunder hain
aur lonely hain
problem hai ki bus voh
read only hain
na jaane mere pyar kee
kisne lagga di sweep
aaj hamne in kiya
to nahin aayee woh beep
kaise milega tumhara saath batado
apne dil ka poora path batado
jo sadiyaon se hota aaya hai
woh repeat kar doonga
tu naa mili to tujhe
Shift delete kar doonga!
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 3:52:49 AM IST Aarz Kiya hai.....
Abhi abhi to pyaar ka pc kiya hai chaaloo
Apne dil ke hard disk pe aur kitani files daaloo
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao
Woh to hum hai jo aap ki chahat dil main rakhate hai
Warna aap jaise softwares to bazaar main bikte hai
Roz raat aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ka mouse bana ke ungaliyon pe nachate ho
Tere pyar ka email mere dil ko lubhataa hai
Par bicch main tere baap ka virus aa jataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intejaar
Hamaare dil ke site pe kabhi enter to maro yaar
Apne insult ka badalaa dekho kaise loonga
Jaaneman tere baap ko shift delete kar doonga
Aapke ke nakhare apne dil pe bang ho gaye
Do pc joodte joodte hang ho gaye
Aap jaiso ke liye dil ko cut diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai
Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save karli hai file .
Posted by: విజయ్ At: 8, Jul 2003 3:42:16 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|