
|
|

General Forum: Love | ~~~~~~~~~~Mujra Songs~~~~~~~~~~ | |
| same question again, kaun hai vo? bolo to sahin ;)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 9, Jul 2005 3:17:14 AM IST Excellent pick...la jawaab...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 9, Jul 2005 2:57:29 AM IST mohe aayi na jag se laaz
main itna zor se naachi aaz ke ghunguroo TooT gaye
mohe aayi na jag se laaz
main itna zor se naachi aaz
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
kuch mujh pe naya joban bhi tha
kuchch pyaar ka paagalpan bhi tha
ek palak meri teer bani
ek julf meri zanzeer bani
liya dil saajan ka jeet
liya dil saajan ka jeet
vo cheDe paayaliyan ne geet
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
main basi thi jiske sapnon me
vo ginega aab mujhe apnon me
kehti hai meri har angDaayi
main piya ki neend churaa laayi
main ban ke gayi thi chor
main ban ke gayi thi chor
ke meri paayal thi kamzor
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
dharti pe na mere pair lage
bin piya mujhe sab gair lage
mujhe aang mile armaanon ke
mujhe pankh mile parwaanon ke
jab mila piyaa ka gaanv
jab mila piyaa ka gaanv
to aisa lachka mera paanv
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
mohe aayi na jag se laaz
main itna zor se naachi aaz
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
ke ghunguroo TooT gaye...ke ghunguroo TooT gaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 9, Jul 2005 2:35:44 AM IST Khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
Saaf chuthe bhi nahin Saamne aate bhi nahin
Sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno tum
Sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno tum
Chilman chilman chilman chilman chilman
Chilman chilman chilman chilman chilman
Chilman uthegi nahin
Jalwon ki roshni milegi nahin
Sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno
Sun lo tum...chilman..uthegi nahin
Jalwon ki roshni milegi nahin
Sun lo tum...chilman..uthegi nahin
Jalwon ki roshni milegi nahin
Tum udhar ho chilman ke
Roshni ho chan chan ke
Aayegi aashiqon tak rukegi nahin
Sun lo tum...chilman..uthegi nahin
Jalwon ki roshni milegi nahin
Sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno sunno tum
Jalwon ki roshni milegi nahin
Khoob hai yeh junoon aapka
Shukriya shukriya shukriya
Hai junoon ka jo yeh dawaa
Toh huzur ka hai kya iraada
Ek naam japenge jhoom jhoom jhoom
Mann tu shudam tu mann shudir
Mann tan shudam tu jaan shudi
Takasma bo yad baa dasi
Mann ki dharm tu hi dharin
Kya kahoon tum ajeeb lagte ho
Door jitna bhi ja rahe ho tum
Mujhko utne kareeb lagte ho
Kya kahoon tum ajeeb lagte ho
Meri kismat mein tum nahi phir bhi
Mujhko apna naseeb lagte ho
Sun lo tum...chilman..uthegi nahin
Jalwon ki roshni milegi nahin
Tum udhar ho chilman ke
Ek baar utha do parda
Ek baar dikha do jalwa
Iss dil mein chupalu tumko
Saansoon mein basalu tumko
Aankhon mein sadaa ki khatir
Tasveer banalu tumko
aanewali tanhaayi kal saath jo apne layi
Gam ki bhari zanjeerein
Toh hongi yeh tasveerein
Inhe dekh ke main jee loonga
Tum jaao kahin tum raho kahin
Wahan gunjenge yeh bol meri dhadkan ke
Dhadkan dhadkan dhadkan dhadkan
Dhadkan dhadkan dhadkan dhadkan
Wahan gunjenge yeh bol meri dhadkan ke
Tum udhar ho chilman ke
Roshni ho chan chan ke
Aayegi aashiqon tak rukegi nahin
Posted by: Nishigandha At: 6, Jul 2005 6:34:53 PM IST sakhiyaan aaz mujhe neend nahin aayegee
sunaa hain tere mehfil me ras jagaa hain
aankhon aankhon me yun hi raat guzar jaayegee
sunaa hain teree mehfil me ras jagaa hain
sakhiyaan aaz mujhe neend nahin aayegee
sunaa hain tere mehfil me ras jagaa hain
aankhon aankhon me yun hi raat guzar jaayegee
sunaa hain teree mehfil me ras jagaa hain
saakee hain aur shaam bhee ulfat ka jaam bhee
taQdeer hain uusee ki jo le iin se kaam bhee
rang-ye-mehfil hain raatbhar ke liye
sochnaa kyaa abhee sehar ke liye
teraa jalwaa ho teree soorat ho
aur kyaa chaahiye nazar ke liye
aaz soorat tere be-parda nazar aayegee
sakhiyaan aaz mujhe neend nahin aayegee
sunaa hain tere mehfil me ras jagaa hain
aankhon aankhon me yun hi raat guzar jaayegee
sunaa hain teree mehfil me ras jagaa hain
mohabbat me jo miT jaataa hain vo kuchh keh nahin saktaa
ye vo koochaa jis me dil salaamat reh nahin saktaa
kiski duniyaa yahaan tabaah nahin
kaun hain jis ke lab pe aag nahin
uus par dil jaroor aayegaa jis ke bachne ki koyee raah nahin
zindagee aaz nazar milte hi looT jaayegee
sakhiyaan aaz mujhe neend nahin aayegee
sunaa hain tere mehfil me ras jagaa hain
aankhon aankhon me yun hi raat guzar jaayegee
sunaa hain teree mehfil me ras jagaa hain
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 21, Jun 2005 0:24:30 AM IST agar dilbar kee rusawaaee humen manzoor ho jaaye
sanam tu bewafaa ke naam se mashhoor ho jaaye
humen fursat nahin miltee kabhee aansun bahaane se
kayee gum paas aa baiThe tere ek door jaane se
agar tu paas aa jaaye to har gum door ho jaaye
sanam tu bewafaa ke naam se mashhoor ho jaaye
vafaa ka vaastaa de kar mohabbat aaz rotee hai
na aise khel iis dil se ye naazuk cheez hotee hai
zaraa se TeS lag jaaye to sheeshaa choor ho jaaye
sanam tu bewafaa ke naam se mashhoor ho jaaye
tere rangeen honThon ko kanwal kehane se Darte hain
tere iis be-rukhee pe hum gajal kehane se Darte hain
kahin aisaa na ho tu aur bhi magroor ho jaaye
agar dilbar kee rusawaaee humen manzoor ho jaaye
sanam tu bewafaa ke naam se mashhoor ho jaaye
sanam tu bewafaa ke naam se mashhoor ho jaaye...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 16, Jun 2005 10:36:54 PM IST kajaraa mohaBBat waala akhiyon me aisaa Daalaa
kajare ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
duniyaan hai mere peechhe lekin main tere peechhe
apanaa banaa le meri jaan haaye re main tere quRbaan
kajaraa mohaBBat waala akhiyon me aisaa Daalaa
kajare ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
aayi ho kahaan se gori aaNkhon me pyaar le ke
aayi ho kahaan se gori aaNkhon me pyaar le ke
chaDati jawaani ki ye pehali bahaar le ke
dilli shahar ka saaraa meena bazaar le ke
dilli shahar ka saaraa meena bazaar le ke
jhumkaa bareli waala kaanon me aisaa Daalaa
jhumke ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
duniyaan hai mere peechhe lekin main tere peechhe
apanaa banaa le meri jaan haaye re main tere quRbaan
moTar na bangalaa maangun jhumakaa na haar maangun
moTar na bangalaa maangun jhumakaa na haar maangun
dil ko jalaane waale dil ka qaraar maanguun
saiyyan be-dardi mere thoDa sa pyaar maangun
saiyyan be-dardi mere thoDa sa pyaar maangun
kismat banaa de meri duniyaan basaa de meri
kar le sagaayi meri jaan haaye re main tere quRbaan
kajaraa mohaBBat waala akhiyon me aisaa Daalaa
kajare ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
jab se hai dekhaa tujhko ho gaye gulaam tere
jab se hai dekhaa tujhko ho gaye gulaam tere
apanaa banaa le gori aayenge kaam tere
apanaa ye jeevan saaraa likh denge naam tere
apanaa ye jeevan saaraa likh denge naam tere
kurtaa ye jaali waala uus par motiyon ki maala
kurte ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
duniyaan hai mere peechhe lekin main tere peechhe
apanaa banaa le meri jaan haaye re main tere quRbaan
kajaraa mohaBBat waala akhiyon me aisaa Daalaa
kajare ne le li meri jaan haaye re main tere quRbaan
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Jun 2005 11:28:35 PM IST iinsaan kisee se duniyaan me ek baar mohabbat kartaa hai
iis dard ko lekar jeetaa hai iis dard ko lekar martaa hai
pyaar kiyaa to Darnaa kya jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
pyaar kiyaa koyi chori nahin ki
pyaar kiyaa...pyaar kiyaa koyi chori nahin ki
chhuup chhuup aahen bharnaa kya
jab pyaar kiyaa to Darnaa kya...pyaar kiyaa to Darnaa kya
jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
aaz kahenge dil ka fasaanaa jaan bhi le le chaahe zamaa naa
aaz kahenge dil kaa fasaanaa jaan bhi le le chaahe zamaanaa
maut vohi jo duniyaa dekhe maut vohi jo duniyaa dekhe
ghuT ghuT kar yun marnaa kya jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
pyaar kiyaa to Darnaa kya...jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
uun ki tamanna dil me rahegi shammaa iise mehfil me rahegi
uun ki tamannaa dil me rahegi shammaa iise mehfil me rahegi
ishq me jeenaa ishq me marnaa ishq me jeenaa ishq me marnaa
aur humen aab karnaa kya...jab pyaar kiya to Darnaa kya
pyaar kiyaa to Darnaa kya...jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
chhuup na sakegaa ishq hamaaraa...chaaron taraF hain unkaa nazaaraa
chhuup na sakegaa ishq hamaaraa...chaaron taraF hain unkaa nazaaraa
pardaa nahin jab koyi khudaa se pardaa nahin jab koyi khudaa se
bandon se pardaa karnaa kya...jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
pyaar kiyaa to Darnaa kya...jab pyaar kiyaa to Darnaa kya
pyaar kiyaa koyi chori nahin ki...chhuup chhuup aahe bharnaa kya
jab pyaar kiyaa to Darnaa kya...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Jun 2005 7:38:54 PM IST ...in which case one movie is off my list now (wanna guess the name?)...:P Thanks a bunch for saving me 2 'Georges'...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Jun 2005 1:26:55 AM IST PCS, kya "paar" kee to Darna nahin ? :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Jun 2005 1:07:41 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|