
|
|

General Forum: Poetry | Ek sher arj kiya hai .... | |
| vaahva..vaahva.. 12 sArlu mAtramE
check ur serial number..
Posted by: ★Vinåyåkåm★ chitt♥♥r At: 17, Mar 2005 11:45:32 PM IST Hello friends:) Just look at these crappy shayaris too :P
1> Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.
2> ab Jab gire Baadal, Teri Yaad aayi
Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
Bheega main, lekin phir bhi teri Yaad aayi
Kyon na aaye teri yaad?
Tune jo chatri ab tak nahi lautai...
3> Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhna mana hai.
4> Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye...
5> Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye...
6> Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Ghanti bajainge aur bhaag jayenge !
8> Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha,
pass jake dekha to santra tha,
cheel ke dekha to bhi santra tha,
Khake dekha to bhi santra tha.
Wah kya santra tha !
9> Macchar ne jo kata... dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni... dil be sukoon tha.
Pakada to chod diya yeh soch kar ki.... sale ki ragon
main apna hi khoon tha!
10> Khuda kare tera mobile kho jaye.
Mile mujhe aur mera ho jaye.
Karu SMS ladkion ko naam tera aae.
Maar tujhe pade aur kaleja mera thanda ho jae.
12> Aaj didar,
kal yaar,
parso pyar,
phir ekrar,
aur phir-intzar,
phir-takrar,
phir-darar,
saari mehnat-bekar,
aur akhir mein-Ek aur devdas at beer bar !
15> Suraj Hua Madham , chand bhi chalne laga,
mein thehra raha, zamin chalne lagi,
sajna kya ye! hi! ! ! pyaar hai ??
Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG !
16> Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai.
Aye Jalim Deodorant jo to bhoool jata hai
Posted by: Janakiram Lakkapragada At: 17, Mar 2005 11:39:06 PM IST tum mere sath jo chaltay thay rah-e-ulfat main
rastay meri mohabbat main sanwar jatay thay
tum jo gatay thay to jhoom uthti thi duniya meri
geet hi geet fizaon main bikhar jatay thay
Posted by: Murali za az At: 17, Mar 2005 9:53:23 PM IST Mujhey tanha na kerdena...
Mujhey Tanha nahee rehnaa..
Safar to youn bhee hota hai..
Mager Humsafar tum merey rehna.
Meree Ankhon ko perhlenaa..
Meree Batain samjhlennaa....
Mujhey jo chor ker jao...
Meree Zindagee saath lejana..
Safar mai Humsafar rakhna...
Meree Har Pal khabar rakhna
Posted by: Murali za az At: 16, Mar 2005 7:43:51 PM IST Jurtay Huay Dekha Nahi Kabhi Tootay Huay Dil Ko !!
jaisay Gir Jayain Jo Ansoo Woh Uthaye Nahi jatay
Posted by: Murali za az At: 15, Mar 2005 8:06:53 PM IST kehte the jinko hum apni jaan, nikal gai unhi ke haatho se hamari jaan
aur unko khabar bhi na hui kya huya jo khate the humko apni jaan
Posted by: Murali za az At: 15, Mar 2005 0:45:02 AM IST sHAAYArI kYAA HAI kE Ek UmARR gAnvAAYI HUm nE
cHAnd AlFAAZon ko ImkAAn-O-AsAr dEnE mE
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Mar 2005 0:04:53 AM IST Koi door gaya to koi bahut kareeb mila
Kabhi apna sa laga to kabhi ajeeb mila
Waqt se karta raha main hardum duwa
Phir bhi us khuda se hume kuch na mila
Posted by: Murali za az At: 14, Mar 2005 10:30:38 PM IST kAIsE kEH dUn ApnI ZUbAAnI ApnE HI dIl kA HAAl
bAAt HOnTOn tAk AAtE AAtE DAr sE cHUp jAAtEE HAI
nAZArEn mIl HI kAb pAAtEE HAI KAAFIr sAnAm sE
UTHnE sE pEHlE HI YE tO sHArAm sE JHUk jAAtEE HAI
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 14, Mar 2005 8:41:24 PM IST mAnZIlOn PE AAkE rUktE HAIn dIlOn kE kAArAWAAn
kAsHtIYAAn sAAHIl pE AksAr DOObtI HAIn pYAAr KI
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 14, Mar 2005 7:52:57 PM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|