
|
|

General Forum: Love | Jab dil akela ho ♪♪♪ | |
| jab bhi ye dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai
honT chup chaap bolte ho jab
saans kuch tez tez chalti ho
aankhen jab de rahin ho awaazen
ThanDi aahon me saans jalti ho
ThanDi aahon me saans jalti ho..
jab bhi ye dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai
aankh me tairti hain tasveeren
tera chehra tera khayaal liye
aayene dekhta hai jab mujh ko
ek masoom sa sawaal liye
ek masoom sa sawaal liye
jab bhi ye dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai..
koyi vaada nahin kiya lekin
kyun tera intezaar rehta hai
be-vajeh jab qaraar mil jaaye
dil baDa beqaraar rehta hai
dil baDa beqaraar rehta haii
jab bhi ye dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 19, Nov 2005 10:40:06 PM IST aaz kal me Dhal gayaa din huvaa tamaam
tu bhi so jaa so gayi rang bharee shaam
so gayaa chaman chaman so gayi kali-kali
so gaye hain sab nagar so gayi gali-gali
neend keh rahin hain chal meri baanh thaam
tu bhi so jaa so gayi rang bharee shaam
hai bujhaa-bujhaa saa dil bojh saans-saans pe
jee rahen hain phir bhi hum sirf kal ki aaS pe
keh rahin hai chaandni leke teraa naam
tu bhi so jaa so gayi rang bharee shaam
kaun aayegaa idhar kiski raah dekhen hum
jinki aahaTen sunee jaane kiske ye kadam
apanaa koyi bhi nahin apane to hain raam
tu bhi so jaa so gayi rang bharee shaam
aaz kal me Dhal gayaa din huvaa tamaam
tu bhi so jaa so gayi rang bharee shaam
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 13, Nov 2005 6:55:08 AM IST saavan ke jhoole paDe tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
aanchal na chhoDe meraa paagal huyi hai pavan
aab kya karun main jatan dhaDake jiyaa jaise panchhii uDe
saavan ke jhoole paDe tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
dil ne pukaaraa unhen, yaadon ke parades se
aati hai jo dekh ke hum uus Dagar pe hain kab se khaDe
saavan ke jhoole paDe tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
"jab hum mile piyaa tum kitane naadaan the
hum kitane anjaan the, baali umariyaa me nainaa laDe "
saavan ke jhoole paDe tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
tum chale aavo...tum chale aavo
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 11, Nov 2005 11:06:44 PM IST naseeb me jis ke jo likhaa tha vo teri mehfil me kaam aayaa
kisee ke hisse me pyaas aayi kisee ke hisse me jaam aayaa
main ek fasaanaa hun bekasi ka ye haal hai meri zindagi ka
na husn hi mujh ko raas aayaa na ishq hi mere kaam aayaa
naseeb me jis ke jo likhaa tha vo teri mehfil me kaam aayaa
badal gayi hain teri manzilen bhi bichhaD gayaa main bhi kaaravaan se
teri mohabbat ke raaste me na jaane ye kyaa makaam aayaa
naseeb me jis ke jo likhaa tha vo teri mehfil me kaam aayaa
tujhe bhulaane ki koshishen bhi tamaam naakaam ho gayi hain
kisee ne zikr-e-vafaa kiyaa jab zubaan pe teraa hi naam aayaa
naseeb me jis ke jo likhaa tha vo teri mehfil me kaam aayaa
kisee ke hisse me pyaas aayi kisee ke hisse me jaam aayaa
naseeb me jis ke jo likhaa tha vo teri mehfil me kaam aayaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Nov 2005 1:53:47 AM IST teri yaad dil se bhulaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
teri yaad dil se bhulaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
teri yaad dil se bhulaane chalaa hun...
ghaTaavon tumhen saath denaa paDegaa
ghaTaavon tumhen saath denaa paDegaa
main phir aaz aansun bahaane chalaa hun...bahaane chalaa hun
teri yaad dil se bhulaane chalaa hun...
kabhi iis jagah kwaab dekhe the main ne
kabhi iis jagah kwaab dekhe the main ne
vahin kaakh apanee uDaane chalaa hun...uDaane chalaa hun
teri yaad dil se bhulaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
ke khud apanee hasti miTaane chalaa hun
teri yaad dil se bhulaane chalaa hun...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Nov 2005 1:51:42 AM IST yaad me teri jaag jaag kar hum
raat bhar karwaten badalte hain
Har ghaDi dil me teri ulfat ke
dheeme dheeme chiraagh jalte hain
jabse tune nigaah pheri hai
din hai soona to raat andheri hai
chaand bhi ab nazar nahin aata
aab sitaare bhi kam nikalte hain
yaad me teri jaag jaag kar hum
raat bhar karwaten badalte hain
luT gayi bahaar ki wo mehfil
chuTh gayi hum se pyaar ki manzil
teri yaadon ke saath chalte hain
yaad me teri jaag jaag kar hum
raat bhar karwaten badalte hain
tujh ko paa kar humen bahaar mili
tujh se chuTh kar magar ye baat khuli
baaghbaan bhi chaman ke phoolon ko
apne pairon se khud masalte hain
yaad me teri jaag jaag kar hum
raat bhar karwaten badalte hain
kya kahen tujh se kyun huyi doori
hum samajhte hain apni mazboori
tujh ko maaloom kya ki tere liye
dil ke gum aansuon me dhalte hain
yaad me teri jaag jaag kar hum
raat bhar karwaten badalte hain
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Oct 2005 11:19:53 PM IST kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
kahaan ho tum zaraa aawaaz do...
judaa bulbul hai apane phool se aur ro ke kehati hai
saari duniyaa diyaa vo zulm ho sayyaad karte hain
kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
jahaan hain aur aab jis haal me hain hum tumhaare hain
tumhin aabaad ho dil me tumhin ko yaad karte hain
kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
"humaari bebatsi ye hai ki hum kuchh keh nahin sakte
vafaa badnaam hoti hai agar fariyaad karte hain"
kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
tere kadamon me rehne ki tamannaa dil me rakhte hain
judaa duniyaa ne hum ko kar diyaa fariyaad karate hain
kahaan ho tum zaraa aawaaz do ham yaad karate hain
kabhi bharate hain aahen aur kabhi fariyaad karate hain
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Oct 2005 11:17:58 PM IST ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
tum door nazar aaye baDi door nazar aaye
band kar ke jharokhon ko zara baithee jo sochne
man me tumhin muskaaye man me tumhin muskaaye
ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
ek man tha mere paas vo aab khone lagaa hai
paakar tujhe hai mujhe kuchh hone lagaa hai
ek tere bharose pe sab baiThee hun bhool ke
yun hi umar guzar jaaye tere saath guzar jaaye
ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
jeeti hun tujhe dekh ke marti hun tumhin pe
tum ho jahan saajan meri duniya hai vahin pe
din raat duva maange mera man tere vaaste
kabhi apni ummeedon ka kahin phool na murjhaaye
ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
main jab se tere pyaar ke rangon me rangi hun
jaagte huye soyi nahin neendon me jaagi hun
mere pyaar bhare sapne kahin koyi na chheen le
man soch ke ghabraaye ye hi soch ke ghabraaye
ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
tum door nazar aaye baDi door nazar aaye
band kar ke jharokhon ko zara baithee jo sochne
man me tumhin muskaaye man me tumhin muskaaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 14, Oct 2005 8:38:52 PM IST aankhon me sapne liye ghar se hum chal to diye
jaane ye raahen aab le jaayengi kahaan
miTTi ki khushboo aaye palkon pe aansu laaye
palkon pe reh jaayegaa yaadon ke jahan
manzil nayee hai anjaana hai kaarvaan
Chalna akele hai yahan
tanha dil, tanha safar DhoonDe tujhe phir kyun nazar
tanha dil, tanha safar DhoonDe tujhe phir kyun nazar
tanha dil...dilkash nazaaren dekhe jhilmil sitaaren dekhe
aankhon me phir bhi tera chehra hai jawaan
kitni barsaaten aayi kitni saugaaten laayi
kaanon me phir bhi goonje teri hi sadaa
maane kiye the apna hoga aashiyaan Vaadon ka jaane hoga kya
tanha dil, tanha safar DhoonDe tujhe phir kyun nazar
tanha dil...
aankhon me sapne liye ghar se hum chal to diye
jaane ye raahen aab le jaayengi kahan
miTTi ki khushboo aaye palkon pe aansu laaye
palkon pe reh jaayega yaadon ke jahan
manzil nayee hai anjaana hai kaarvaan
chalna akele hai yahan
tanha dil, tanha safar DhoonDe tujhe phir kyun nazar
tanha dil...
tanha dil...
tanha dil...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 12, Oct 2005 9:07:46 PM IST paas nahin aana door nahin jaana
tum ko saugandh hai ke aaz mohabbat band hai
paas nahin aana door nahin jaana
tum ko saugandh hai ke aaz mohabbat band hai
pehle tu aag bhaDakati hai phir dil ki pyaas bujhaati hai
teri ye hi adaa to mujh ko pasand hai
achchha haan haan magar aaz mohabbat band hai
kitna kitna mazaa hai aise jeene me
dhak dhak bhi hoti nahin seene me
koyi bechaini nahin kitna anand hai ke aaz mohabbat band Hai
mat chheD apne deewaane ko rehne de tu iis bahaane ko
honTon pe na hai magar dil to razaamand hai
razaamand hai magar aaz mohabbat band hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 11, Oct 2005 9:15:28 PM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|