
|
|

General Forum: Love | Jab dil akela ho ♪♪♪ | |
| ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
tum door nazar aaye baDi door nazar aaye
band kar ke jharokhon ko zara baiThee jo sochne
man me tumhi muskaaye man me tumhi muskaaye
ankhiyon ke jharokhon se...
ek man tha mere paas voh aab khone laga hai
paakar tujhe hai mujhe kuchh hone lagaa hai
ek tere bharose pe sab baiThee hun bhool ke
yun hi umar guzar jaaye tere saath guzar jaaye
ankhiyon ke jharokhon se...
jeeti hun tujhe dekh ke marti hun tumhin pe
tum ho jahaan saajan meri duniya hai vahin pe
din raat duva maange mera man tere vaaste
kabhi apni ummeedon ka kahin phool na murjhaaye
ankhiyon ke jharokhon se...
main jab se tere pyaar ke rangon me rangee hun
jaagte huye soyi nahin neendon me jaagi hun
mere pyaar bhare sapne kahin koyi na chheen le
man soch ke ghabraayen ye hi soch Ke ghabraaye
ankhiyon ke jharokhon se main ne dekha jo saanware
tum door nazar aaye baDi door nazar aaye
band kar ke jharokhon ko zara baiThee jo sochne
man me tumhi muskaaye man me tumhi muskaaye
ankhiyon ke jharokhon se...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 7, Oct 2005 9:03:57 PM IST tum na jaane ek jahaan me kho gaye
tum na jaane ek jahaan me kho gaye
hum bhari duniyaan me tanha ho gaye
tum na jaane ek jahaan me kho gaye
maut bhi aati nahin aaS bhi jaati nahin
dil ko ye kya ho gaya koyi keh paati nahin
looT kar mera jahaan chup gaye ho tum kahaan
looT kar mera jahaan chup gaye ho tum kahaan
tum kahaan...tum kahaaan...tum kahaan
tum na jaane ek jahaan me kho gaye
ek jaan aur laakh gum ghuT ke reh na jaaye na dum
aavo tum ko dekh le Doobti nazaron se hum
looT kar mera jahaan chup gaye ho tum kahaan
looT kar mera jahaan chup gaye ho tum kahaan
tum kahaan...tum kahaaan...tum kahaan
tum na jaane ek jahaan me kho gaye
hum bhari duniyaan me tanha ho gaye
tum na jaane ek jahaan me kho gaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Oct 2005 9:51:50 PM IST tum mujhe bhool bhi jaavo to ye haq hai tum ko
meri baat aur hai main ne to mohabbat kee hai
mere dil ki mere jazabaat ki keemat kya hai
uljhe-uljhe se khayaalat ki keemat kya hai
main ne kyun pyaar kiya tum ne na kyun pyaar kiya
iin pareshaan sawaalat ki keemat kya hai
tum jo ye bhi na bataavo to ye haq hai tum ko
meri baat aur hai main ne to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaavo to ye haq hai tum ko
zindagi sirf mohabbat nahin kuchh aur bhi hai
zulf-o-rukasar ki jannat nahin kuchh aur bhi hai
bhookh aur pyaas ki mari huyi iis duniya me
ishq hi ek haqeeqat nahin kuchh aur bhi hai
tum agar aankh churaavo to ye haq hai tum ko
main ne tum se hi nahin sab se mohabbat kee hai
tum agar aankh churaavo to ye haq hai tum ko
tum ko duniya ke gum-o-dard se furasat naa sahin
sab se ulfat sahi mujh se hi mohabbat na sahin
main tumhaari hun ye hi mere liye kya kam hai
tum mere hoke raho ye meri kismat na sahin
aur bhi dil ko jalaavo ye haq hai tum ko
meri baat aur hai main ne to mohabbat kee hai
tum mujhe bhool bhi jaavo to ye haq hai tum ko
tum mujhe bhool bhi jaavo to ye haq hai tum ko
meri baat aur hai main ne to mohabbat kee hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 30, Sep 2005 6:05:46 PM IST aa jaa re
aa jaa re aab meraa dil pukaaraa
ro ro ke gum bhi haaraa
badnaam na ho pyaar meraa aajaa re
ho ghabaraaye haaye ye dil...ho ghabaraaye haaye ye dil
sapanon me aake kabhi mil...sapanon me aake kabhi mil
maut meri taraf aane lagi jaan teri taraf jaane lagi
bol shaam-e-judaayi kyaa karen...bol shaam-e-judaayi kyaa karen
aaS milne ki taDpaane lagi aajaa re
aa jaa re
aa jaa re aab meraa dil pukaaraa
ro ro ke gum bhi haaraa
badnaam na ho pyaar meraa aajaa re
aapane beemaar-e-gum ko dekh le
ho sake to tu hum ko dekh le
tu ne dekhaa na hogaa ye samaa...tu ne dekhaa na hogaa ye samaa
kaise jaataa hai dum ko dekh le
aa jaa re
aa jaa re aab meraa dil pukaaraa
ro ro ke gum bhi haaraa
badnaam na ho pyaar meraa aajaa re
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 28, Sep 2005 11:45:32 PM IST aa jaavo taDapte hain armaan...aa jaavo taDapte hain armaan
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
main roovun yahan tum chup ho vahan
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
vo chaand ki rangat uDhne lagi
vo taaron ke dil aab Doob gaye...Doob gaye
hai dard bhara bechayan sama
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
iis chaand ke Dole me aayi nazar
iis chaand ke Dole me aayi nazar
ye raat ki dulhan chal di kidhar...chal di kidhar
awaaz to do khoye ho kahan
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
ghabhraa ke nazar bhi haar gayi
ghabhraa ke nazar bhi haar gayi
takdeer ko bhi neend aane lagi...neend aane lagi
tum aate nahin main jaavun kahan
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
aa jaavo taDapte hain armaan...aa jaavo taDapte hain armaan
aab raat guzarnewaali hai...aab raat guzarnewaali hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Sep 2005 6:50:03 PM IST aye dil mujhe bataa de tu kis pe aa gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
masti bhara taraana kyun raat gaa rahi hai
aankhon me neend aakar kyun door jaa rahi hai
masti bhara taraana kyun raat gaa rahi hai
aankhon me neend aakar kyun door jaa rahi hai
dil me koyi sitamgar armaan jaga gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
aye dil mujhe bataa de tu kis pe aa gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
betaab ho raha hai ye dil machal machal ke
shaayad ye raat beete karvaT badal badal ke
betaab ho raha hai ye dil machal machal ke
shaayad ye raat beete karvat badal badal ke
eh dil zara sambhal jaa shaayad vo aa gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
aye dil mujhe bataa de tu kis pe aa gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
bheegi huyi hawaaye mausam bhi hai gulaabi
kya chaand kya sitaare har cheez hai sharaabi
bheegi huwi hawaaye mausam bhi hai gulaabi
kya chaand kya sitaare har cheez hai sharaabi
dheere se ek naghma koyi suna gaya hai
vo kaun hai jo aakar kwaabon pe chhaa gaya hai
aye dil mujhe bataa de tu kis pe aa gaya hai
vo kaun hai jo aakar kWaabon pe chhaa gaya hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Sep 2005 1:04:11 AM IST ye raat jaise dulhan ban gayi hai chiraagon se
karoongaa ujaalaa main dil ke daagon se
aaz ki raat mere dil ki salaami le le...dil ki salaami le le
kal teri bazm se diwaanaa chalaa jaayegaa
shammaa reh jaayegi parwaanaa chalaa jaayegaa
teri mehfil tere jalave ho mubaarak tujh ko
teri ulfat se nahin aaz bhi inkaar mujhe
tera mai-khaanaa salaamat rahen aye jaan-e-vafaa
muskuraakar tu zaraa dekh le ek baar mujhe
phir tere pyaar ka mastaanaa chalaa jaayegaa
main ne chaahaa ki bataa dun main haqueqat apani
tu ne lekin na meraa raaz-e-mohabbat samjhaa
meri uljhan mere haalaat yahaan tak pahunche
teri aankhon ne mere pyaar ko nafrat samjhaa
aab teri raah se begaanaa chalaa jaayegaa
"tu mera saath na de raah-e-mohabbat me sanam
chalte-chalte main kisee raah pe muD jaavungaa
kehakashaan chaand sitaare tere choomenge kadam
tere raste ki main ek dhool hun uDh jaavungaa
saath mere meraa afsaanaa chalaa jaayegaa"
aaz ki raat mere dil ki salaami le le...dil ki salaami le le
kal teri bazm se diwaanaa chalaa jaayegaa
shammaa reh jaayegi parwaanaa chalaa jaayegaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 20, Sep 2005 8:55:55 PM IST teri julfon se judaayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
teri julfon se judaayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
main ne kyaa zurm kiyaa aap khafaa ho baiThe
main ne kyaa zurm kiyaa aap khafaa ho baiThe
pyaar maangaa tha khudaayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
meraa haq tha teri aankhon ki chhalakti me par
meraa haq tha teri aankhon ki chhalakti me par
cheez apani thi paraayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
apane beemaar pe itanaa bhi sitam Theek nahin
apane beemaar pe itanaa bhi sitam Theek nahin
teri ulfat me buraayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
chaahne vaalon ko kabhi tu ne sitam bhi na diyaa
chaahne vaalon ko kabhi tu ne sitam bhi na diyaa
teri mehfil se rasaayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
teri julfon se judaayi to nahin maangi thi
quaid maangi thi rihaayi to nahin maangi thi
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 20, Sep 2005 0:18:09 AM IST tu ne haaye...
tu ne khaaye mere zakhm-e-zigar to duniya me
door hun main teri duniyaa se
door hun main teri duniyaa se
phir tu aa jaa man mera
tu ne khaaye mere zakhm-e-zigar to duniya me
tu ne haaye...
main pyaar ki chaandini raat hun
main pyaar ki chaandini raat hun
uljhi huyi dard ki baat hun
uljhi huyi dard ki baat hun
tu ne khaaye mere zakhm-e-zigar to duniya me
tu ne haaye...
soona tha ghar koyi rehne laga
soona tha ghar koyi rehne laga
Dar ke magar dil ye kehne laga
Dar ke magar dil ye kehne laga
tu ne khaaye mere zakhm-e-zigar to duniya me
tu ne haaye...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 16, Sep 2005 7:16:25 PM IST ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
kabhi iis pag me kabhi uus pag me bandhtaa hi raha hoon main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
kabhi TooT gaya kabhi toD gaya sau baar mujhe phir joda gaya
kabhi TooT gaya kabhi toD gaya sau baar mujhe phir joDa gaya
yun hi looT looT ke aur meet meet ke bantaa hi raha hun main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
main karta raha auron ki kahi meri baat mere mann hi me rahi
main karta raha auron ki kahi meri baat mere mann hi me rahi
kabhi mandir me kabhi mehfil me sajtaa hi raha hun main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
apnon me rahe ya gairon me ghunguroo ki jagah to hai pairon me
apnon me rahe ya gairon me ghunguroo ki jagah to hai pairon me
phir kaisa gila jag se jo mila sehtaa hi raha hun main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
kabhi iis pagh me kabhi oos pagh me bandhta hi raha hoon main
ghunguroo ki tarah bajta hi raha hun main
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 15, Sep 2005 11:58:24 PM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|