|
|

General Forum: Love | Dedications | |
| tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
raat meri hai chaanv tumhaare ye aanchal ki
tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
soyi galiyaan baahar phansaa re aankhe neeche

main duniyaa se door ghani palkon ke neeche
dekhun chalte kwaab lakeeron par kaajal ki
tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
"dundhali dundhali rain milan ka bistar jaise
dundhali dundhali rain milan ka bistar jaise
khulta chupta chaand sej ke upar jaise
chalti Phirti khaaT hawaavon par baadal ki"
tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
hain bheeghaa sa jism tumhaara iin haathon me

baahar neer bhara panchi bhi gheeshaakhon me
aur barkhaa ki boond badan si Dal ki Dal ki
tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
raat meri hai chaanv tumhaare ye aanchal ki
tum se kahun ek baat Pharon se halki halki halki halki halki
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 14, Oct 2005 8:33:21 PM IST "dil taDap taDap ke keh raha hai aa bhi ja
tu hum se aankh na churaa tujhe kasam hai aa bhi ja"
dil taDap taDap ke keh raha hai aa bhi ja
tu hum se aankh na chura tujhe kasam hai aa bhi ja
"tu nahin to yeh bahaar kya bahaar hai
guL nahin khile ke tera intezaar hai
tu nahin to yeh bahaar kya bahaar hai
guL nahin khile ke tera intezaar hai
ke tera intezaar hai...ke teraa intezaar hai"
dil taDap taDap ke keh raha hai aa bhi ja
tu hum se aankh na chura tujhe kasam hai aa bhi ja
dil dhaDak dhaDak ke de raha hai ye sadaa
tumhari ho chuki hoon main tumhare paas hun sadaa

tum se meri zindagi ka ye singaar hai
jee rahi hoon main ke mujhko tumse pyaar hai

ke mujhko tumse pyaar hai...ke mujhko tumse pyaar hai
dil taDap taDap ke keh raha hai aa bhi ja
tu hum se aankh na chura tujhe kasam hai aa bhi ja
dil dhaDak dhaDak ke de raha hai ye sadaa
tumhari ho chuki hoon main tumhare paas hun sadaa
muskuraate pyaar ka asar hai har kahin
hum kahan hain dil kidhar hai kuch khabar nahin

kidhar hai kuch khabar nahin...kidhar hai kuch khabar nahin
dil taDap taDap ke keh raha hai aa bhi ja
tu hum se aankh na chura tujhe kasam hai aa bhi ja
dil dhaDak dhaDak ke de raha hai yeh sadaa
tumhari ho chuki hoon main tumhare paas hun sadaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 13, Oct 2005 1:22:28 AM IST paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi
varnaa hum ko nahin iin ko bhi shikaayat hogi...shikaayat hogi
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi

aap jo phool bichhaayen uunhen hum Thukaraayen

hum ko Dar hai...
hum ko Dar hai ke ye tauheen-e-mohabbat hogi...mohabbat hogi
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi
varnaa hum ko nahin iin ko bhi shikaayat hogi...shikaayat hogi
dil ki bechain umangon pe karam farmaavo

itanaa ruk ruk...
itanaa ruk ruk ke chaloge to qayaamat hogi...qayaamat hogi
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi
varnaa hum ko nahin iin ko bhi shikaayat hogi...shikaayat hogi
sharm roke hai idhar shauk udhar kheenche hai

kyaa khabar thi...
kyaa khabar thi tabhi iis dil ki ye haalat hogi...ye haalat hogi
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi
varnaa hum ko nahin iin ko bhi shikaayat hogi...shikaayat hogi
"sharm gairon se huva karti hai apanon se nahin
sharm gairon se huva karti hai apanon se nahin
sharm hum se...
sharm hum se bhi karoge to museebat hogi...museebat hogi"
paanv chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi...inaayat hogi
varnaa hum ko nahin iin ko bhi shikaayat hogi...shikaayat hogi
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 11, Oct 2005 9:13:34 PM IST "tu iis tarah se meri zindagi me shaamil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai"
tu iis tarah se meri zindagi me shaamil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai
ye aasmaan ye baadal ye raaste ye havaa
har ek cheez hai apani jagah Thikaane pe
kayi dinon se shikhaayat nahin zamaane se
ye zindagi hai safar tu safar ki manzil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai
"har ek Phool kisi yaad saa mehakataa hai
tere khayaal se jaagi huyi fizaayen hain
ye sabz peD hain yaa pyaar ki duvaayen hain
tu paas ho ki nahin Phir bhi tu mukaabil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai"
har ek shay hai mohabbat ke noor se roshan
ye roshani jo na ho zindagi adhoori hai
raah-e-vafaa me koyi hum safar zaroori hai
ye raastaa kahin tanahaa kaTe to mushkil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai
tu iis tarah se meri zindagi me shaamil hai
jahaan bhi jaavun ye lagataa hai teri mehfil hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 7, Oct 2005 9:07:24 PM IST aa jaa tujh ko pukaaren meraa pyaar
aa jaa main to miTaa hun teri chaah me...tujh ko pukaare meraa pyaar
aa jaa tujh ko pukaaren meraa pyaar

donon jahaan ki bhenT chaDhaa dee main ne raah me teri
apane badan ki khaakh milaa dee main ne aah me teri aab to chalee aa iis paar
"aa jaa main to miTaa hun teri chaah me...tujh ko pukaare meraa pyaar"
itane yugon se itane dukhon ko koyI seh na sakegaa
meri kasam mujhe tu hai kisee ki koyi keh naa sakegaa mujh se hai teraa iqaraar
aa jaa main to miTaa hun teri chaah me...tujh ko pukaare meraa pyaar
aakhri pal hai aakhri aanhen tujhe DhoonDh rahin hain
Doobti saansen bujhaati nigaahen tujhe DhoonDh rahin hain saamne aa jaa ek baar
aa jaa tujh ko pukaaren meraa pyaar
aa jaa main to miTaa hun teri chaah me...tujh ko pukaare meraa pyaar
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Oct 2005 9:36:37 PM IST hey duniya haseenon ka mela mele me ye dil akela
ho ho duniya haseenon ka mela mele me ye dil akela
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye

oh oh oh duniya haseenon ka mela mele me ye dil akela
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
ho yahan wahan idhar udhar chehre hain kitne haseen
magar jahan ruke nazar soorat vo dekhi nahin
yahan wahan idhar udhar chehre hain kitne haseen
magar jahan ruke nazar soorat vo dekhi nahin
Vo husn DhoonDhtaa hun main aashiqui ke liye
Duniya haseenon ka mela mele mein ye dil akela
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
hey ada nasha naqar badan sab kuchh tere paas hai
magar tu vo ghaTaa nahin jiski mujhe pyaas hai
ada nasha nazar badan sab kuchh tere paas hai
magar tu vo ghata nahin jiski mujhe pyaas hai
"ek jaam DhoonDhtaa hun mehkashi ke liye"
duniya haseenon ka mela mele me ye dil akela
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
ek dost DhoonDhtaa hun main dosti ke liye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 30, Sep 2005 6:21:34 PM IST @chori, sab chalta hai (Everything is fair...) :)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Sep 2005 9:46:14 PM IST har kisee ko nahin miltaa
yahan pyaar zindagi me...pyaar zindagi me
"khushanaseeb hain vo jin ko hain milee
ye bahaar zindagi me"
honThon se honTh mile na bhale
chaahe mile na baahen baahon se
do dil zindaa reh sakte hai
chaahat ki bhari nigaahon se
har kisee ko nahin miltaa
yahan pyaar zindagi me...pyaar zindagi me
khushanaseeb hain vo jin ko hain milee
ye bahaar zindagi me
"julfon ke narm andheren hai
jismon ke garm ujaale hai
jeete jee hum ko pyaar milaa
hum dono kismatawaale hai"
har kisee ko nahin miltaa
yahan pyaar zindagi me...pyaar zindagi me
khushanaseeb hain vo jin ko hain milee
ye bahaar zindagi me
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Sep 2005 9:33:28 PM IST ye bejaan cheezon ki kee thi namaayish
ye vunche ye kaliyaan ye taaren haTaa do
jahan se guzarna hai uus mehjabeen ko
vahan mere seene ki dhaDkan bichaa do
'shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin'
shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin

nazar Tahartee nahin vo shabaab paaya hai

bahaar bharti hai paani nazar lage na kahin
bahaar bharti hai paani nazar lage na kahin
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin
shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin
andheri raat me raahon pe yun na nikalaa kar

'tu chaandini ki hai raaNi nazar lage na kahin'
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin
shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin
dhanak sitaaren ghaTa roshni sabaa khushboo

ye sab hai teri nishaani nazar lage na kahin
ye sab hai teri nishaani nazar lage na kahin
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin
shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin
bane na koyi kahaani nazar lage na kahin
shabaab par hai jawaani nazar lage na kahin
nazar lage na kahin ...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Sep 2005 2:10:56 AM IST pyaar par bas to nahin hai meraa lekin phir bhi
tu bataa de ke tujhe pyaar karun yaa na karun
mere kwaabon ke jharokhon ko sajaane vaali
tere kwaabon me kahin meraa guzar hai ke nahin
poochh kar apani nigaahon se bataa de mujh ko
meri raaton ke muqaddar me sahar hai ke nahin
pyaar par bas to nahin hai meraa lekin phir bhi
tu bataa de ke tujhe pyaar karun yaa na karun
kahin aisaa na ho paavun mere tharraa jaayen
aur teri marmari baahon ka sahaaraa na mile
ashq behate rahen khaamosh siyaah raaton me
aur tere reshmi aanchal ka kinaaraa na mile
pyaar par bas to nahin hai meraa lekin phir bhi
tu bataa de ke tujhe pyaar karun yaa na karun
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Sep 2005 1:31:33 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|