
|
|

General Forum: Love | Jab dil akela ho ♪♪♪ | |
| mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
jo likha tha...
jo likha tha aansuvon ke sang beh gaya
mera jeevan...
mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
ek hawa jhoonka aaya ...ek hawa jhoonka aaya
TooTa Daali se phool...TooTa Daali se phool
na pavan ki na chaman ki
kisee ki hai ye bhool...kisee ki hai ye bhool
kho gayi...kho gayi khushboo hawa me kuch na reh gaya
mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
uDte panchi ka Thikaana...uDte panchi ka Thikhaana
mera na koyi jahan...mera na koyi jahan
na Dagar hai na khabar hai
jaana hai mujh ko kahan...jaana hai mujh ko kahan
ban ke sapna...ban ke sapna humsafar ka saath reh gaya
mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
dukh ke andar sukh ki jyoti
dukh hi sukh ka gyan...dukh hi sukh ka gyaan
dard sah ke janm leta
har koyi insasn...har koyi insasn
vo sukhi hai...vo sukhi hai jo khushi se dard seh gaya
mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 14, Sep 2005 2:24:37 AM IST yaad kiya dil ne kahaan ho tum
jhoomti bahaar hai kahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
yaad kiya dil ne kahaan ho tum
jhoomti bahaar hai kahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
kho rahen ho aaz kis khayaal me
dil fasaa hai bebatsi ke jaal me
kho rahe ho aaz kis khayaal me
dil fasaa hai bebatsi ke jaal me
matlabi jahaan meherbaan ho tum
yaad kiya dil ne kahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
raat Dhal chuki hai subah ho gayi
main tumhaari yaad leke kho gayi
raat Dhal chuki hai subah ho gayi
main tumhaari yaad leke kho gayi
aab to meri daastaan ho tum
yaad kiya dil ne kahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
tum humaari zindagi ke baag ho
tum humaari raah ke charaag ho
tum humaari zindagi ke baag ho
tum humaari raah ke charaag ho
mere liye aasmaan ho tum
yaad kiya dil ne kahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
pyaar se pukaar lo jahaan ho tum
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 8, Sep 2005 9:44:04 PM IST tujh se naraz nahin zindagi hairaan hun main...ho hairaan hun main
tere masoom saWaalon se pareshaan hun main...ho pareshaan hun main
tujh se naraz nahin zindagi hairaan hun main...ho hairaan hun main
tere masoom saWaalon se pareshaan hun main...ho pareshaan hun main
jeene ke liye sochaa hi nahin dard sambhaalne honge
jeene ke liye sochaa hi nahin dard sambhaalne honge
muskuraaye to muskuraan ke karz utaarne honge
ho muskuraavun kabhi to lagata hai jaise honTon pe karz rakha hai
ho tujh se naraz nahin zindagi hairaan hun main...ho hairaan hun main
zindagi tere gum ne humen risthe naye samjhaayen
zindagi tere gum ne humen risthe naye samjhaayen
mile jo humen dhoop me mile chaanV ke TanDe saayen
ho tujh se naraz nahin zindagi hairaan hun main...ho hairaan hun main
aaz agar bhar aayi hai boonde baras jaayegi
aaz agar bhar aayi hai boonde baras jaayegi
kal kya pata iin ke liye aankhen taras jaayegi
ho jaane kab kyun huva kahan khoya ek aansun chupaa ke rakha tha
tujh se naraz nahin zindagi hairaan hun main...ho hairaan hun main
tere masoom saWaalon se pareshaan hun main...ho pareshaan hun main
ho pareshaan hun main...ho pareshaan hun main
ho pareshaan hun main...ho pareshaan hun main
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 7, Sep 2005 9:31:52 PM IST Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye
gum-e-zindagi ke andhere me hum ne chiraag-e-mohaBBat jalaa ye bhujaayen
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye...
aahaTen jaag uThi raasten hans diye
thaam kar dil uThe hum kisi ke liye
kayee baar aisa bhi dhoka huva hai
chale aa rahen hai vo nazaren jhukaayen
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye...
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye
gum-e-zindagi ke andhere me hum ne chiraag-e-mohaBBat jalaa ye bhujaayen
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye...
dil sulagne laga ashq behne lage
jaane kya kya humen log kehne lage
magar rote rote haseen aa gayi hai
khayaalon me aake vo jab muskuraayen
Vo jab yaad aaye bohut yaad aaye...
Vo judaa kya huye zindagi kho gayi
shaMMa jalti rahi roshNi kho gayi
bohut khoshishen ki magar dil na behlaa
kayi saaz cheDen kayi geet gaaye
Vo jab yaad aayen bohut yaad aayen...
Vo jab yaad aayen bohut yaad aayen...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 7, Sep 2005 0:57:03 AM IST nazar aati nahin manzil taDapne se bhi kya haasil
taqdeer me aye mere dil andhere hi andhere hain
nazar aati nahin manzil taDapne se bhi kya haasil
taqdeer me aye mere dil andhere hi andhere hain
mazboori ne jis ko maaraa uus ka kaun sahaaraa
maanjhi to mil jaate hain par miltaa nahin koyi kinaaraa
nazar aati nahin manzil taDapne se bhi kya haasil
taqdeer me aye mere dil andhere hi andhere hain
nainon se yun chheen gayi jyoti sip se jaise moti
ek jaan aur sau dushman hain kaash ye jaan na hoti
nazar aati nahin manzil taDapne se bhi kya haasil
taqdeer me aye mere dil andhere hi andhere hain
nazar aati nahin manzil taDapne se bhi kya haasil
taqdeer me aye mere dil andhere hi andhere hain
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Aug 2005 0:19:10 AM IST sure@early lunch :)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 9:12:49 PM IST kaali ghaTaa chhaaye moraa jiyaa tarasaaye
aise me kahin koyi mil jaaye re
bolo kisee ka kyaa jaaye re...kyaa jaaye re...kyaa jaaye
kaali ghaTaa chhaaye moraa jiyaa tarasaaye
aise me kahin koyi mil jaaye re
bolo kisee ka kyaa jaaye re...kyaa jaaye re...kyaa jaaye
hun main kitani akeli vo ye jaante
hun main kitani akeli vo ye jaante
mere be-rang jeevan ko pehachaanate
mere haathon ko thaamen hanse aur hansaaye meraa dukh bhulaaye
kisee ka kyaa jaaye
kaali ghaTaa chhaaye moraa jiyaa tarasaaye
aise me kahin koyi mil jaaye re
bolo kisee ka kyaa jaaye re...kyaa jaaye re...kyaa jaaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 8:48:42 PM IST tujhe*/icecream*
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 8:48:26 PM IST chalo Priya, aaz tumjhe kuch meeTha khilaavunga @kaDva. how about chaco cecream? :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 8:47:55 PM IST phaili huyi hai sapnon ki baahen aaja chal de kahin door
vahin meri manzil vahin teri raahen aaja chal de kahin door
phaili huyi hai sapnon ki baahen aaja chal de kahin door
vahin meri manzil vahin teri raahen aaja chal de kahin door
oonche ghaTaa ke sang tale chhip jaaye
Dhundhli fiza me kuchh khoye kuchh paaye
oonche ghaTa ke...oonche ghaTa ke sang tale chhip jaaye
Dhundhli fiza me kuchh khoye kuchh paaye
sanson ki le kar koyi aisi dhun gaaye
de de jo dil ko dil ki panaahen aaja chal de kahin door
phaili huyi hai sapnon ki baahen aaja chal de kahin door
jhoola Dhalakta dheere dheere hum jhoome
ambar to kya hai taaron ki bhi lab chhoole
jhoola Dhalakta...jhoola Dhalakta dheere dheere hum jhoome
ambar to kya hai taaron ki bhi lab chhoole
masti me jhoolen aur sabhi gum bhoolen
dekhe na peeche muDke nigaahen aaja chal de kahin door
phaili huyi hai sapnon ki baahen aaja chal de kahin door
vahin meri manzil wahin teri raahen aaja chal de kahin door
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Aug 2005 9:25:42 PM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|