|
|

General Forum: Love | Jab dil akela ho ♪♪♪ | |
| meghaa chhaaye aadhee raat bairan ban gayi nindiyaa
meghaa chhaaye aadhee raat bairan ban gayi nindiyaa...bataa de main kyaa karun
meghaa chhaaye aadhee raat bairan ban gayi nindiyaa
sab ke aangan diyaa jale re more aangan jiyaa
hawaa laage shool jaisee taanaa maare chuNariyaan
sab ke aangan diyaa jale re more aangan jiyaa
hawaa laage shool jaisee taanaa maare chuNariyaan
aayee hai aansun ki baaraat bairan ban gayee nindiyaa...bataa de main kyaa karun
meghaa chhaaye aadhee raat bairan ban gayi nindiyaa
rooTh gayee re sapane saare TooT gayi re aashaa
nain bahe re gangaa more Phir bhi man hai pyaasaa
rooTh gayee re sapane saare TooT gayi re aashaa
nain bahe re gangaa more Phir bhi man hai pyaasaa
kis se kahun re main man ki baat bairan ban gayee nindiyaa...
bataa de main kyaa karun
meghaa chhaaye aadhee raat bairan ban gayi nindiyaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 8:21:16 PM IST aye dilrubaa...
aye dilrubaa...
aye dilrubaaa nazaren milaa
kuch to milen gum ka sulaa
aye dilrubaa...
ashkon ka ek dariya bahaar
pyaasa dil pyaasa rahaa
nazaren milaa nazaren milaa rehne na de koyi gilaa
aye dilrubaa...
aye dilrubaa...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Aug 2005 9:35:54 PM IST zindagi zulm sahin zabr sahin gum hi sahin
dil ki fariyaad sahin ruh ka maatam hi sahin
zindagi zulm sahin zabr sahin gum hi sahin
dil ki fariyaad sahin ruh ka maatam hi sahin
zindagi zulm sahin...
hum ne har haal me jeene ki kasam khaayi hai
aab ye hi haal muqaddar hai to shikwaa kyun ho
hum saleeke se nibhaa denge jo din baaki hain
chaah rusuvaa na huyi dard bhi rusavaa kyun ho
zindagi zulm sahin zabr sahin gum hi sahin
dil ki fariyaad sahin ruh ka maatam hi sahin
hum ko taqdeer se be-vajah shikaayat kyun ho
isee taqdeer ne chaahat ki khushi bhi dee thi
aaz agar kaanpti palakon ko diye hain aansun
kal thirakate huye honThon ko hansi bhi dee thi
zindagi zulm sahin zabr sahin gum hi sahin
dil ki fariyaad sahin ruh ka maatam hi sahin
hum hain maayoos magar itane bhi maayus nahin
ek na ek din to ye ashkon ki laDi TooTegi
ek na ek din to chaTenge ye gumon ke baadal
ek na ek din ujaale ki kiran phooTegi
zindagi zulm sahin zabr sahin gum hi sahin
dil ki fariyaad sahin ruh ka maatam hi sahin
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Aug 2005 1:52:58 AM IST kabhi kabhi mere dil me khayaal aataa hai
ki zindagi teri zulfon ki narm chhaavon me
guzarne paati to shaadaab ho bhi sakati thi
ye tiraagi jo mere jist ka muqaddar hai
teri nazar ki shuaanon me kho bhi sakti thi
ajab na tha ki main begaanaa-e-aalam ho kara
tere jamaal ki raanaaiyon me kho rehataa
teraa gudhdaaz badan teri neemabaaz aankhen
inhin haseen fazaavon me main ho rehtaa
pukaarti mujhe jab talakiyaan zamaane ki
tere labon se halaavat ke ghoonT pee letaa
hayaat cheekhati phiraati barehanaa-sara aur main
ghaneri zulfon ki chhaavon me chhup ke jee letaa
magar ye ho na sakaa
magar ye ho na sakaa aur aab ye aalam hai
ki tu nahin teraa gum teri justuzu bhi nahin
guzar rahin hai kuchh iis tarah zindagi jaise
iise kisee ke sahaare ki aarzu bhi nahin
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa chukaa hun gale
guzar rahaa hun kuch anjaani rehaguzaaron se
muheeb saaye meri simaT bharte aate hain
hayaat-o-maut ke par-haal khaar-zaaron se
na koyi jada na manzil na roshni ka suraag
bhaTak rahin hai khayaalon me zindagi meri
inhin khayaalon me reh jaavungaa kabhi kho kar
main jaantaa hun mere ham-nawaaz magar yun hi
kabhi kabhi mere dil me khayaal aataa hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 1, Aug 2005 8:50:20 PM IST jaa re jaa re uDh jaa re panchhi
bahaaron ke deS jaa re yahaan kyaa hai mere pyaare
kyun ujaDh gayi bagiyaa mere man ki...jaa re
jaa re jaa re uDh jaa re panchhi
bahaaron ke deS jaa re yahaan kyaa hai mere pyaare
kyun ujaDh gayi bagiyaa mere man ki...jaa re
na Daali rahin na kali ajab gum ki aandhi chalee
uDhi dukh ki dhool raahon me...

main b(v)eeNaa uThaa na saki tere sang gaa naa saki
Dhale mere geet aahon me...

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Jul 2005 9:30:00 PM IST zindagi kwaab hai tha humen bhi pataa
par humen zindagi se bahut pyaar tha
sukh bhi the dukh bhi the dil ko ghere huye
chaahe jaisaa tha rangeen sansaar thaa
aa gayi thi shikaayat labon tak magar
kise kehate to kyaa kehanaa bekaar tha
chal paDe dard dekar to chalte rahen
haar kar baiTh jaane se inkaar tha
zindagi kwaab hai tha humen bhi pataa
par humen zindagi se bahut pyaar tha
chand din tha baseraa humaaraa yahan
hum bhi mehmaan the ghar to us paar thaa
hum-safar ek din to bichhaDnaa hi thaa
alvidaa alvidaa alvidaa alvidaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Jul 2005 0:14:03 AM IST koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koyi humaara na raha
koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise
shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise
jo mujhr raah dikhaaye vo taara na raha
koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
aye nazaaron na hanso mil na sakunga tum se
vo mere ho na sake main Bhi tumhara na raha
koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
kya bataavun main kahan yun hi chala jaata hun
kya bataavun main kahan yun hi chala jaata hun
jo mujhe phir se bulaa le vo ishaara na raha
koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koyi humaara na raha
koyi humdum na raha koyi sahaara na raha
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 28, Jul 2005 9:14:22 PM IST kabhi palkon pe aansun hain kabhi lab pe shikaayat hai
magar aye zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai
kabhi palkon pe aansun hain kabhi lab pe shikaayat hai
magar aye zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai
kabhi palkon pe aansun hain...
jo aataa hai vo jaataa hai ye duniyaa aani-jaani hai
yahaan har shah musaafir hai safar me zindagaani hai
ujaalon ki zaroorat hai andheraa meri kismat hai
kabhi palkon pe aansun hain kabhi lab pe shikaayat hai
magar aye zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai
zaraa aye zindagi dam le teraa deedaar to kar lun
kabhi dekhaa nahin jis ko uuse main pyaara to kar lun
abhi se chhoD ke mat jaa abhi teri zaroorat hai
kabhi palkon pe aansun hain kabhi lab pe shikaayat hai
magar aye zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai
koyi anajaan sa cheharaa ubhartaa hai phizaavon me
ye kiski aahaTen jaagin meri khaamosh raahon me
abhi aye maut mat aanaa meri veeraann jannata hai
kabhi palkon pe aansun hain kabhi lab pe shikaayat hai
magar aye zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Jul 2005 0:28:01 AM IST n you are sure that I do not have an apartment err a house? :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Jul 2005 11:20:58 PM IST I thought you would suggest "www.find-nearest-partners.com" :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Jul 2005 10:09:31 PM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|