
|
|

General Forum: Love | Dedications | |
| chalo de diya :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 9, Aug 2005 11:49:31 PM IST ajeeb daastan hai ye kahaan shuru kahaan khatam
ye manzilen hain kaun si na wo samajh sake na hum
ajeeb daastan hai ye kahaan shuru kahaan khatam
ye manzilen hain kaun si na wo samajh sake na hum
ajeeb daastan hai ye...
ye roshni ke saath kyun dhuvaan uThaa chiraagh se
ye khwaab dekhti hun main...ki jag parhi hun khwaab se
ajeeb daastan hai ye kahaan shuru kahaan khatam
ye manzilen hain kaun si na wo samajh sake na hum
ajeeb daastaan hai ye...
mubaaraken tumhen ki tum kisee ka noor ho gaye
kisee ke itne paas ho...ki sab se door ho gaye
ajeeb daastan hai ye kahaan shuru kahaan khatam
ye manzilen hain kaun si na wo samajh sake na hum
ajeeb daastaan hai ye...
kisee ka pyaar le ke tum naya jahaan basaavoge
ye shaam jab bhi aayegi tum hum ko yaad aaoge...
ajeeb daastan hai ye kahaan shuru kahaan khatam
ye manzilen hain kaun si na wo samajh sake na hum
ajeeb daastaan hai ye...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 9, Aug 2005 9:02:32 PM IST zaraa saamane to ao chhaliye
chhup chhup chhalne me kyaa raaz hai
yun chhup na sakegaa paramaatma meri aatma ki ye awaaz hai
zaraa saamane to ao chhaliye...
hum tumhen chaahe tum nahin chaaho aisa kabhi nahin ho saktaa
pita apane balak se bichhuD se sukh se kabhi nahin so sakata
humen Darne ki jag me kyaa baat hai
jab haath me tihaare meri laaz hai
yun chhup na sakegaa paramaatma meri aatma ki ye awaaz hai
zaraa saamane to ao chhaliye...
prem ki hai ye aag sajan jo idhar uThe aur udhar lage
pyaar ka hai ye karar jiyaa aab idhar saje aur udhar saje
teri preet pe baDa humen naaz hai mere sar ka tu hi sartaaz hai
yun chhup na sakegaa paramaatma meri aatma ki ye awaaz hai
zaraa saamane to ao chhaliye
chhup chhup chhalne me kyaa raaz hai
yun chhup na sakegaa paramaatma meri aatma ki ye awaaz hai
zaraa saamane to ao chhaliye...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 5, Aug 2005 6:43:12 PM IST paanv paDun tore shyaam briz me lauT chalo...lauT chalo
paanv paDun tore shyaam briz me lauT chalo...lauT chalo
paanv paDun tore shyaam...
sooni kadam ki TanDe chaniYyaan khoje dhun panchi ki
vyaakul hoke briz na Duboo de leharen jamunAa ji ki...lauT chalo
lauT chalo paanv paDun tore shyaam...
doodh dahi se bhari maThakiya toDe kaun muraari
aswan jal se bhare gagariyaa panghaT pe panihaari...lauT chalo
lauT chalo paanv paDun tore shyaam...
bilakh rahi hai maat yashoda nand ji dukh me khoye
kuchch to soch arre niRmohi briz ka kaN kaN roye...lauT chalo
lauT chalo paanv paDun tore shyaam...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 8:07:19 PM IST honTon se chhoo lo tum mera geet amar kar do
honTon se chhoo lo tum mera geet amar kar do
ban jaavo meet mere meri preet amar kar do
honTon se chhoo lo tum mera geet amar kar do
na umar ki seema ho na janam ka ho bandhan
na umar ki seema ho na janam ka ho bandhan
jab pyaar kare koyi to dekhe keval mann
nayee reet chalaakar tum ye reet amar kar do
nayee reet chalaakar tum ye reet amar kar do
aakaash ka soonaapan mere tanha mann me
aakaash ka soonaapan mere tanha mann me
paayal chhankaati tum aa jaavo jeevan me
saansen dekar apni sangeet amar kar do
sangeet amar kar do mera geet amar kar do
jag ne chheena mujh se mujhe jo bhi laga pyaara
jag ne chheena mujh se mujhe jo bhi laga pyaara
sab jeeta kiye mujh se main har-dam hi haara
tum haarke dil apna meri jeet amar kar do
tum haarke dil apna meri jeet amar kar do
honTon se chhoo lo tum mera geet amar kar do
honTon se chhoo lo tum mera geet amar kar do
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 2:33:07 AM IST meri awaaz suno pyaar ke raaz suno
main ne ek phool jo seene pe sajaa rakhaa tha
uus ke parade main tumhen dil se lagaa rakhhaa tha
tha judaa sab se mere ishq ka andaaz suno
zindagi bhar mujhe nafarat si rahi ashkon se
mere khwaabon ko tum ashkon me Doobote kyun ho
jo meri tarah jiyaa karte hain kab marte hain
thak gayaa hun mujhe so lene do rote kyun ho
so ke bhi jaagte hi rehate hain jaanbaaz suno
meri duniya me na poorab hain na paschim koyi
saare insaan simaT aaye khuli baahon me
kal bhaTaktaa tha main jin rahon me tanhaa tanhaa
kaafilen kitne mile aaz uunhin raahon me
aur sab nikale mere humdard mere humaraaz suno
naunihaal aate hain arathi ko kinaare kar lo
main jahaan tha inhen jaanaa hai vahaan se aage
aasmaan iinkaa zameen iinki zamaanaa iinkaa
hain kayee iinke jahaan mere jahaan se aage
iinhen kaliyaan na kaho hain ye chamanasaaz suno
kyun saanvari hai ye chandan ki chitaa mere liye
main koyee jism nahin hun ke jalaaoge mujhe
raakh ke saath bikhar jaavungaa main duniya me
tum jahaan khaavoge Thokar vahin paavoge mujhe
har kadam par hai nayee moD ka aaGaaz suno
meri awaaz suno pyaar ke raaz suno
main ne ek phool jo seene pe sajaa rakhaa tha
uus ke parade main tumhen dil se lagaa rakhhaa tha
tha judaa sab se mere ishq ka andaaz suno
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 2, Aug 2005 9:59:48 PM IST zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi
kab tum ko dekhaa hai...kab tum ko dekhaa hai taaron ke sang
phoolon ke rang me tum ko paanaa hai
ye main ne thaanaa hai tum ko paanaa hai
ye main ne thaanaa hai apane ghar laanaa hai
ye main ne thaanaa hai
tum mere saath ho main tere saath hun
vo zameen saath hai aasamaan saath hai
ye bheegaa bheegaa jism ye bheegi aarzu
zindagi mil gayi zindagi hai saudaagar
deti hai kuchh lene ke baad dee bahaar mujh ko
magar phir lee chaman rakhne ke baad
sang ke sang lahu ke rang men
tum ko paanaa hai tum ko paanaa hai
zindagi zindagi zindagi
zindagi zindagi zindagi
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Jul 2005 9:38:10 PM IST zindagi zindagi mere ghar aanaa aanaa zindagi
zindagi zindagi mere ghar aanaa aanaa zindagi
zindagi zindagi mere ghar aanaa aanaa zindagi
mere ghar ka seedhaa sa itanaa pataa hai
ye ghar jo hai chaaron taraf se khulaa hai
na dastak zaroori na aawaaz denaa
mere ghar ka darawaazaa koyi nahin hai
hain diwaaren gum aur chhat bhi nahin hai
baDi dhoop hai dost...khaDi dhoop hai dost
tere aanchal ka saayaa churaa ke jeenaa hai jeenaa
jeenaa zindagi...zindagi o zindagi mere ghar aanaa
mere ghar ka seedhaa sa itanaa pataa hai
mere ghar ke aage mohabbat likhaa hai
na dastak zaroori na aawaaz denaa
main saanson ki raftaar se jaan lungi
hawaaon ki khushbu se pehchaan lungi
teraa phool hun dost...teri bhool hun dost
tere haathon me cheharaa chhupaa ke jeenaa hai jeenaa
jeenaa zindagi zindagi o zindagi mere ghar aanaa
magar aab jo aanaa to dheere se aanaa
zamaane ki shahazaadi soyi huyi hai
ye pariyon ke sapanon me khoyi huyi hai
bohut Khoob hai ye teraa roop hai ye
tere aanchal me tere daaman me
tere aankhon me teri palko me
tere kadamon iis ko biThaake jeenaa hai jeenaa hai
jeenaa zindagi zindagi o zindagi mere ghar aanaa
zindagi zindagi mere ghar aanaa aanaa zindagi
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Jul 2005 0:15:28 AM IST chalte chalte mere ye geet yaad rakhnaa
kabhi alvida na kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
rote hanste bas yun hi tum gun-gunaate rehanaa
kabhi alvida na kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
pyaar karate karate hum tum kahin kho jaayenge
iinhi bahaaron ke aanchal me thak ke so jaayenge
pyaar karate karate hum tum kahin kho jaayenge
inhi bahaaron ke aanchal me thak ke so jaayenge
sapanon ko phir bhi tum yun hi sajaate rehnaa
kabhi alvida naa kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
chalte chalte mere ye geet yaad rakhnaa
kabhi alvida na kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
beech raah me dilvar bichhaD jaayen kahin hum agar
aur sooni si lage tumhen jeevan ki ye Dagar
beech raah me dilvar bichhaD jaayen kahin hum agar
aur sooni si lage tumhen jeevan ki ye Dagar
hum lauT aayenge tum yun hi bulaate rehnaa
kabhi alvida naa kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
chalte chalte mere ye geet yaad rakhnaa
kabhi alvida naa kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
rote hanste bas yun hi tum gun-gunaate rehanaa
kabhi alvida na kehnaa...kabhi alvida na kehnaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 28, Jul 2005 9:23:19 PM IST good, you cleared that up openly :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Jul 2005 1:17:38 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|