
|
|

|
General Forum: Love | | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| ehasaan mere dil pe tumhaaraa hai doston
ye dil tumhaare pyaar kaa maaraa hai doston
bantaa hai meraa kaam tumhaare hii kaam se
hotaa hai meraa naam tumhaare hii naam se
tum jaise meharabaan kaa sahaaraa hai doston,
ye dil ...
yaaron ne mere vaaste kyaa kuchh nahii kiyaa
sau baar shukriyaa are sau baar shukriyaa
bachapan tumhaare saath guzaaraa hai dosto.n,
ye dil ...
Posted by: ★Vinåyåkåm★ chitt♥♥r At: 19, Jun 2004 6:49:52 PM IST suhaani raat Dal chuki na jaane tum kab aavoge
jahaan ki rut badal chuki na jaane tum kab aavoge
naZaaren apni mastiyaan dikha dikha ke so gaye
sitaaren apni roshni luTaa luTa ke so gaye
har ek shamma jal chuki na jaane tum kab aavoge
suhaani raat Dal chuki na jaane tum kab aavoge
taDap rahe hain hum yahaan
taDap rahe hain hum yahaan tumhaare intZaar me
tumhaare intZaar me
fiZa ka rang aa chala hai mausamen bahaar me
fiZa ka rang aa chala hai mausamen bahaar me
mausame bahaar me
hawa bhi rukh badal chuki na jaane tum kab aavoge
suhaani raat Dal chuki na jaane tum kab aavoge
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Jun 2004 7:41:46 PM IST Raina beeti jaaye shaam na aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
nindiyaan na aaye nindiyaan aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
is soutan ne roki Dagariyaan
is soutan ne roki Dagariyaan
is sairan se laagi naZariyaan
nindiyaan na aaye nindiyaan aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
virahaan ki maari prem diwaani
virahaan ki maari prem diwaani
tan man pyaasa akhiyon me paani
nindiyaan na aaye nindiyaan aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
Raina beeti jaaye shaam na aaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Jun 2004 7:09:00 PM IST aye maalik tere bande hum ayese ho humaare karam
nekee par chale, aaur badee se tale, taankee hasate huye nikale dam
ye andheraa ghanaa chhaa rahaa, teraa insaan ghabaraa rahaa
ho rahaa bekhabar, kuchh naa aataa najar, sukh kaa sooraj chhoopaa jaa rahaa
hai teree roshanee mein jo dam to amaawas ko kar de poonam
badaa kamajor hain aadamee, abhee laakhon hain is mein kamee
par too jo khadaa, hain dayaaloo badaa, teree kirapaa se dharatee thamee
diyaa toone humei jab janam too hee zelegaa hum sab ke gam
jab julmon kaa ho saamanaa, tab too hee humei thaamanaa
wo buraee kare, hum bhalaaee bhare, naheen badale kee ho kaamanaa
badh uthhe pyaar kaa har kadam aaur mite bair kaa ye bharam
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Jun 2004 7:26:52 AM IST kitna pyaara waada ...
kitna pyaara waada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daaloon haal...muhe sambhaal
ho saathiyaan ho bheliyaan...
kitna pyaara vaada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daaloon haal...muhe sambhaal
ho ujaala ya andhera kahin na chooTe haath mera
koi mera na tere bin
piya nibhaana saath mera
arre kora kora gora gora ye aang sora hai
paagal muhe banaa diya
kitna pyaara vaada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daaloon haal...muhe sambhaal
barson maine man jalaaya
mili palkon ki tab ye chaaya
kaanten mere tan me TooTe
gale se tu ne tab lagaaya
ho sayya pyare chalta jaa re bhyaya daare ho
garavaa to hai lagaa liya
kitna pyaara vaada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daoloon haal...muhe sambhaal
roj uTaake ye nayanva
chuva karoongi tere manwa
jaise pehli pyaar chaaha
sadaa chahoongi main sajanwa
hai tere nayana mere nayana phir kya sahana hoi
kya kya na main ne paa liya
kitna pyaara vaada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daoloon haal...muhe sambhaal
ho saathiyan ho bheliyan
kitna pyaara vaada hai in matwaali aankhon ka
is masti me soojhe na kya kar Daaloon haal...muhe sambhaal
ho saathiyan ho bheliyan
ho saathiyan ho bheliyan
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Jun 2004 7:16:37 AM IST silli hawa chhoo gayi
sila badan chil gaya
neeli nadi ke pare
geela sa chaand khil gaya
silli hawa chhoo gayi
sila badan chil gaya
tum se mili jo jindagi
hum ne abhi voye nahin
tum se mili jo jindagi
hum ne abhi voye nahin
tere siva koi na tha
tere siva koi nahin
silli hawa chhoo gayi
sila badan chil gaya
jaane kahan kaise shahar
leke chala ye dil mujhe
jaane kahan kaise shahar
leke chala ye dil mujhe
tere bagair dil na jala
tere bagair shabnaa bhuje
silli hawa chhoo gayi
sila badan chil gaya
jitne bhi karte gaye
baDte gaye ye faasale
jitne bhi karte gaye
neelon se din choD aaye
saalon se raath le ke chale
silli hawa chhoo gayi
sila badan chil gaya
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 17, Jun 2004 3:54:11 AM IST Yes, unless I am totally off Lata sang that number...
I watched that movie some years back...would love to watch it again...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 17, Jun 2004 2:41:25 AM IST @LB, Right! I listen to that often. That is an awwwwwwwwesome number ...
Many Thanks to Lata Ji for all those beautiful songs ...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 17, Jun 2004 2:07:13 AM IST vo hain zara kafa kafa to nayan yun churaaye hain
ke ho ho ho ho ho
vo hain zara kafa kafa to nayan yun churaaye hain
ke ho ho ho ho ho
na bol tum to kya karoon vo hans ke yun bulaaye hain
ke ho ho ho ho ho
has rahin hai chaandini
machal ke ro na doo kahin
aise koi rooTtaa nahin
ye tera khayal hai
kareeb aa mere haseen
mujh ko tujh se kutch gilaa nahin
baat yun banaaye hain ke
ho ho ho ho ho
vo hain zara kafa kafa to nayan yun churaaye hain
ke ho ho ho ho ho
phool ko mehak mile
ye raat rang me Dale
mujh se teri julf Dar khule
tum hi mere sang ho
gagan ke chaav ke tale
ye rut yun hi hor tak chale
pyaar yun hi jataaye hain ke
ho ho ho ho ho
na bol tum kya karoon vo hans ke yun bulaaye hain
ke ho ho ho ho ho
aise mat sataayiye
jara taras to khaayiye
dil ki daDkan mat jagaayiye
kutch nahin kahoonga main
na aKDiyaan jhukaayiye
sir to kaandhe se uTaayiye
aise neend aaye hai ki
ho ho ho ho hovo hain zara kafa kafa to nayan yun
churaaye hain
ke ho ho ho ho ho
vo hain zara kafa kafa to nayan yun churaaye hain
ke ho ho ho ho ho
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 17, Jun 2004 1:46:13 AM IST It kills me, Everytime i hear this song
By now, I am dead long back
amitaabh:
mai.n aur merI tanahaaii, aksar ye baate.n karate hai.n
tum hotI.n to kaisaa hotaa, tum ye kahatii.n, tum vo kahatii.n
tum is baat pe hairaa.n hotii.n, tum us baat pe kitanii ha.Nsatii.n
tum hotI.n to aisA hotaa, tum hotI.n to vaisaa hotaa
mai.n aur merI tanahaaii, aksar ye baate.n karate hai.n
ruu ruu ...
lataa:
ye kahaa.N aa gaye ham, yuu.Nhii sAth sAth chalate
terI baaho.n me.n hai jaanam, mere jism-o-jaan pighalate - 2
amitaabh:
ye raat hai, yaa tumhaarii zulfe.n khulii huii hai.n
ye chaa.NdanI hai yaa tumhaarI nazaro.n se, merI raate.n dhulI huI hai.n
ye chaa.Nd hai, yaa tumhaaraa ka.Ngan, sitaare hai.n yaa tumhaaraa aa.Nchal
havaa kA jho.nkaa hai, yaa tumhaare badan kii khushabuu
ye pattiyo.n kii hai sarasaraahaT, ke tumane chupake se kuchh kahaa
ye sochataa huu.N mai.n kabase gumasum
ki jabaki mujhako bhI ye khabar hai, ki tum nahii.n ho, kahii.n nahii.n ho
magar ye dil hai ki kah rahaa hai, tum yahii.n ho, yahii.n kahii.n ho
lataa:
tuu badan hai mai.n huu.N saayaa, tU nA ho to mai.n kahaa.N huu.N
mujhe pyaar karane vaale, tuu jahaa.n hai mai.n vahaa.n huu.N
hame.n milanaa hii thaa hamadam, isii raah pe nikalate
ye kahaa.N aa gaye ham
merI saa.Ns saa.Ns mahake, koI bhiinaa bhiinaa chandan
terA pyaar chaa.Ndanii hai, meraa dil hai jaise aa.Ngan
koi aur bhI mulaayam, (merI shaam Dhalate Dhalate - 2)
ye kahaa.N aa gaye ham
amitaabh:
majabuur ye haalaat, idhar bhI hai.n udhar bhii
tanahaaii ke ye raat, idhar bhI hai udhar bhii
kahane ko bahut kuchh hai, magar kisase kahe.n ham
kab tak yuu.Nhii khaamosh rahe.n, aur sahe.n ham
dil kahataa hai duniyA kii har ik rasm uThA de.n
dIvaar jo ham dono me.n hai, aaj giraa de.n
kyo.n dil me.n sulagate rahe.n, logo.n ko bataa de.n
haa.n hamako muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat hai
ab dil me.n yahii baat, idhar bhI hai, udhar bhii
lataa:
ye kahaa.N aa gaye ham, ye kahaa.N aa gaye ham
Posted by: Mr. Kalyan Chakravarthy At: 17, Jun 2004 0:31:47 AM IST
|
|
|
 |
| Advertisements |
|
|
 |
 |
| Advertisements |
|