
|
|

|
General Forum: Love | | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| likhe jo khat tujhe, woh teri yaad mein
hazaaron rang ke, nazaare ban gaye
sawera jab huya, to phool ban gaye
jo raat aayi to, sitaare ban gaye
koyi nagma kahin goonja,kahan dil mein yeh tu aayi
kahin chatki kali koyi, main yeh samjha, tu sharmaayi
koyi khushboo kahin bikhri,laga yeh zulf lehraayi
likhe jo khat tujhe...
fiza rangeen, adaa rangeen
yeh ithlaana, yeh sharmaana
yeh angdhaayi, yeh tanhaayi
yeh tarsa kar, chale jaana
bana de ga nahi kisko
jawaan jadoo yeh deewana
likhe jo khat tujhe..
jahan tu hai, wahan main hoon
mere dil ki tu dhadhkan hai
musafir main tu manzil hai
main pyaasa hoon tu saawan hai
meri duniya yeh nazre hain
meri jannat yeh daaman hai
likhe jo khat tujhe...
Posted by: Vijay At: 8, Jun 2004 8:18:33 AM IST tum mujhe yun bhulaa na paavoge han
tum mujhe yun bhulaa na paavoge
jab kabhi bhi sunooge geet mere
sang sang tum bhi gun gunaavoge
han tum mujhe yun bhulaa na paavoge
ho tum mujhe yun
vo bahaaren vo chandini raaten
hum ne ki thi jo pyaar ki baaten
vo bahaaren vo chandini raaten
hum ne ki thi jo pyaar ki baaten
vun naZaaron ki yaad aayegi
jab khayalon me mujh ko laavoge
han tum mujhe yun bhula na paavoge
ho tum mujhe yun
mere haathon me tera chehra tha
jaise koi gulaab hota hai
mere haathon me tera chehra tha
jaise koi gulaab hota hai
aur sahaara liya tha baahon ka
us samaa kis tarah bhulaavoge
han tum mujhe yun bhulaa na paavoge
ho tum mujhe yun
mujh ko dekhe bina karaar na tha
ek aisa bhi daur gujra hai
mujh ko dekhe bina karaar na tha
ek aisa bhi daur gujra hai
jhooT maano to pooch lo dil se
main kahoonga to rooT jaavoge
han tum mujhe yun bhulaa na paavoge
jab kabhi bhi sunooge geet mere
sang sang tum bhi gun gunaavoge
han tu mujhe yun bhulaa na paavoge
ho tu mujhe yun
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Jun 2004 6:03:58 PM IST ye sama samaa hai ye pyaar ka
kisi ki intzaar ka
dil na churaale kahin mera mausam bahaar ka
ye sama samaa hai ye pyaar ka
kisi ki intzaar ka
dil na churaale kahin mera mausam bahaar ka
basne lage aankhon me kutch aise sapne
basne lage aankhon me kutch aise sapne
koi bulaayen jaise nainon se apni...nainon se apni
ye sama samaa hai dee-daar ka
kisi ki intzaar ka
dil na churaale kahin mera mausam bahaar ka
milke khayalon me hi apne balam se
milke khayalon me hi apne balam se
neend gava li apni maine kasam se...maine kasam se
ye sama samaa hai khumaar ka
kisi ki intzaar ka
dil na churaale kahin mera mausam bahaar ka
ye sama samaa hai ye pyaar ka
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Jun 2004 5:58:27 PM IST TooTe huye kwaabon ne hum ko ye sikhaaya hai
dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaaya hai
TooTe huye kwaabon ne hum ko ye sikhaaya hai
dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaaya hai
TooTe huye kwaabon ne
hum DoonDte hai unko jo mil ke nahi milte
rooTe hai na jaane kyun mehmaan vo mere dil ke
mehmaan vo mere dil ke
kya apni tamanna thi kya saamne aaya hai
dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaaya hai
TooTe huye kwaabon ne hum ko ye sikhaaya hai
dil ne jise paaya tha aankhon gavaaya hai
TooTe huye kwaabon ne
laut aayi sada meri Takraake sitaaron se
ujaDi huyi duniyan ke sunsaan kinaaron se
sunsaan kinaaron se
par ab ye taDpa na bhi kutch kaam na aaya hai
dil ne dil ne jise paaya tha aankhon ne gavaaya hai
TooTe huye kwaabon ne
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Jun 2004 5:53:14 PM IST teri pyaari pyaari surat ko kisi ki naZar na lage chashme baddu
teri pyaari pyaari surat ko kisi ki naZar na lage chashme baddu
mukhDe ko chupalo aanchal me kahin meri naZar na lage chashme baddu
yun na akele vida karo sab ki naZar se Daraa karo
yun na akele vida karo sab ki naZar se Dara karo
phool se jyaada nazuk ho tum chaal sambhal kar chalaa karo
julfon ko gira lo gaalon pe mausam ki naZar na lage chashme baddu
teri pyaari pyaari surat ko kisi ki naZar na lage chashme baddu
ek jhalak jo paata hai raahi vohin ruk jaata hai
ek jhalak jo paata hai raahi vohin ruk jaata hai
dekh ke tera roop salona jaan bisar ko jhukaata hai
dekha na karo tum aayeena kahin khud ki naZar na lage chashme baddu !
teri pyaari pyaari surat ko kisi ki naZar na lage chashme baddu
teri pyaari pyaari surat ko kisi ki naZar na lage chashme baddu
mukhDe ko chupalo aanchal me kahin meri naZar na lage chashme baddu
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Jun 2004 8:31:45 PM IST na koi umang hai na koi tarang hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
na koi umang hai na koi tarang hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
aakaash se giri main ek baar kat ke aise
duniyaan ne phir poocha looTha hai
na kisi ka saath hai na kisi ka sanga hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
lagte gale se apni babool ke main na royi
lagte gale se apni babool ke main na royi
Doli uTee yun jaise
Doli uTee yun jaise arthi uTi ho koi
yahi dukh ka aaj bhi mere aang sang hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
sapnon ke devataa kya muj ko karoon main arpaN
sapnon ke devataa kya muj ko karoon main arpaN
patjhaD ki main hun chaaya main aansuvon ka darpaN
yahi mera roop hai yahi mera rang hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
na koi umang hai na koi tarang hai
meri jindagi hai kya ek kaTi patang hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Jun 2004 8:15:25 PM IST bindiya chamkegi chooDi kankegi
bindiya chamkegi chooDi kankegi
teri neend vuDe the vuD jaaye
kajra behkega gajara mehkega
kajra behkega gajara mehkega
maahi rut jaaye the rut jaaye
bindiya chamkegi chooDi kankegi
maine maana huva tu deewaana
jo lam tere saath huva...maine maana
maine maana huva tu deewaana
jo lam tere saath huva
main kahan le javoon apni laang ka lashkaara
is lashkaare se aake dwaare se
is lashkaare se aake dwaare se
bindiya chamkegi chooDi kankegi
bole kanGna kisi ka vo sajna
jawaani pe jor nahin...bole kanGna
bole kanGna kisi ka vo sajna
jawaani pe jor nahin
laakh manaa kar le duniyaan kehte hain
mere gungurro paayal baajegi gori naachegi
paayal baajegi gori naachegi
bindiya chamkegi chooDi kankegi
maine tuj se mohabbat ki hai
gulaami nahin ki balmaa...maine tujh se
maine tuj se mohabbat ki hai
gulaami nahin ki balmaa
dil kisi ka TooTe chaahe koi mujh se rooThe
main to kheloongi main to cheDoongi
main to kheloongi main to cheDoongi
bindiya chamkegi chooDi kankegi
mere aangan baraat leke saajan
tu jis raah aayega...mere aangan
mere aangan baraat leke saajan
tu jis raah aayega
main na baitoongi Doli mein
kehdoongi babool se main na javoongi
main na jaavoongi...main na jaavoongi
main na jaavoongi...main na jaavoongi
bindiya chamkegi chuDi kankegi
bindiya chamkegi chooDi kankegi
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 2, Jun 2004 8:38:14 PM IST Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele ... kahan jaa rahe ho
taDapta na choDo meri jaan ho tum
taDapta na choDo, meri jaan ho tum
ye mukhDa na moDo, meri jaan ho tum
ye mukhDa na moDo, meri jaan ho tum
mera dil na thoDo, meri jaan ho tum
Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele ... kahan jaa rahe ho
koi rok lega to phir kya karoge
koi rok lega to phir kya karoge
kadam thaam lega to phir kya karoge
kadam thaam lega to phir kya karoge
kushaamad karega to phir kya karege
Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele kahan jaa rahe ho
humen saath le lo jahan jaa rahe ho
Akele Akele ... kahan jaa rahe ho
Akele Akele kahan jaa rahe ho
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 2, Jun 2004 8:04:26 PM IST deewaana hua baadal
saawan ki ghata chaayi
yeh dekhke dil jhoomaa
lee pyar ne angdaayee
aisee to meri taqdeer na thi
tum saa koi mehboob milein
dil aaj khushi se paagal hien
yeh jaane vafaa tum khoob mile
dil kyon na bane paagal
kya tumne adaa paayee
yeh dhekhke dil jhoomaa
lee pyaar ne angdaayee
jab tum se nazar takraayi sanam
jazbaad ka ik toofaan uthaa
tinke ki tarhaa mein beh niklee
sailaab meri roke na rukaa
sailaab meri roke na ruka
jeevan mein machee halchal
aur bajne lage shehnaayi
yeh dhekhke dil jhoomaa
lee pyaar ne angdaayi
Posted by: Ms. sargam singeetam At: 2, Jun 2004 9:28:44 AM IST Priya, here ya go...this song is for you...:)
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
milo na tum to hum ghabraayen
milo to aankh churaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
milo na tum to hum ghabraayen
milo to aankh churaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
tum hi ko dil ka raaZ bataayen
tum hi se raaZ chupaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
o o o bhole saathiyaan
dekhe jo shohki tere pyaar ki
o o o bhole saathiyaan
o o o bhole saathiyaan
dekhe jo shohki tere pyaar ki
aanchal me bhar li hum ne saari bahaaren sansaar ki
nayi adaa pe hum itraaye paaye khushi luTaaye
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
milo na tum to hum ghabraayen
milo to aankh churaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
rooThe kabhi kabhi maan gayen
baaten tumhari hum jaan gayen
aise adaayen khurbaan gayen
rooThe kabhi kabhi maan gayen
tum he manaaye dil behlaayen
kya kya naaz uTaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
milo na tum to hum ghabraayen
milo to aankh churaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
o o o sohne joogiyaan
rang le humein bhi isi rang me
o o o sohne joogiyaan
o o o sohne joogiyaan
rang le humen bhi isi rang me
phir se sunaa de panchi khaliyaan khilade gore aang me
vohi jo taane aag lagaaye unhi se aag bhujaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
milo na tum to hum ghabraayen
milo to aankh churaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
tum hi ko dil ka raaZ bataayen
tum hi se raaZ chupaayen
humen kya ho gaya hai
humen kya ho gaya hai
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 2, Jun 2004 8:49:33 AM IST
|
|
|
 |
| Advertisements |
|
|
 |
 |
| Advertisements |
|