
|
|

General Forum: Poetry | Ek sher arj kiya hai .... | |
| hahha..that was a good one ananth.
Posted by: Ms. Sneha D At: 11, Feb 2005 1:21:41 AM IST Zindagi hai ek paheli
Na koi use suljha paya
Khoya hai har koi yahan
Is ke chakkar se na nikal paay
Posted by: Murali za az At: 11, Feb 2005 1:11:58 AM IST hum apne hisse ki zindagi to ji chuke
bas dhadkano ka lihaz karte hain
par kya kahe hum is duniya walo ko
jo hamari aakhir saas par bhi aitraz karte hain
Posted by: Ms. Sneha D At: 11, Feb 2005 0:57:43 AM IST Kitna bebas hai insaan Apni kismat ke aage
Kitna benoor hai sapna Haqeekat ke aage
Koi ruki si dhadkan se pooche
Kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage
Posted by: Ms. Sneha D At: 11, Feb 2005 0:48:41 AM IST kya jane kab maut ka paigam aa jaye
na jane kab jindagi ki shaam aa jaye
Ay dost mujhe us din ka intezaar hai
jab ye zindagi tere kaam aa jaye
Posted by: Ms. Sneha D At: 11, Feb 2005 0:32:07 AM IST Zindagi mein kuch raha bhi nahin aur marne ka honsla bhi nahin hai
wah wah wah!!!
Zindagi mein kuch raha bhi nahin aur marne ka honsla bhi nahin hai
dil chahtha hai tujhe bhool jaoon.....
Oye ye AAmir khan wala Dil chahtha nahi hai.....ye mera dil hai
magar yeh dil ka faisla bhi nahin hai
"Zindagi mein kuch raha bhi nahin aur marne ka honsla bhi nahin hai
dil chahta hai tujhe bhool jaon.....magar yeh dil ka faisla bhi nahin hai"
Posted by: Murali za az At: 11, Feb 2005 0:07:54 AM IST baharon ne loot lee shaam aashiyane ki
mere pyaar ko lag gayi nazar zamaane ki
kabr se nikale reh gaye do haath
sirf hasrat reh gayi unhe gale lagane ki
Posted by: విజయ్ At: 10, Feb 2005 7:23:51 AM IST Hum Woh Nahi Jo Tumhe Gham Mein Chhod Denge,
Hum Woh Nahi Jo Tujhse Naata Thod Denge,
Hum To Tere Woh Dost Hain Jo
Agar Teri Saanse Band Ho To Apni Saanse Jod Denge....
Posted by: విజయ్ At: 10, Feb 2005 7:14:48 AM IST Phir Chupke se yaad aa gaya koi,
meri aankhon ko phir rula gaya koi,
kaise uska shukriya ada karen,
mujh naachij ko 'Shaayar' bana gaya koi
Posted by: విజయ్ At: 10, Feb 2005 7:13:40 AM IST Raat itni haseen thi
Ki saare so rahe the
Hum hi aise badnaseeb the
Jo aap ki yaad main ro rahe the
Posted by: విజయ్ At: 10, Feb 2005 6:19:57 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|