
|
|

General Forum: Love | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| sure @kicks...I'd like that if you make it n bring it over ;) mera kaam to chal hi raha hai side may :) btw, kaju thoda jyada daalna aur mirchi bhi (you can put more than 7 red chilli-it adds more spicy flavor) ;)
~~~
"dil mera chura lo
aankhon me chhupaa lo
apna banaa lo sanam
na na na..na na na..
haan haan haan na na na na
churaa lo na dil mera sanam
banaa lo na apna sanam
ki tere bin na jee sakenge
ki tere bin na mar sakenge kuchh bhi na kar sakenge
churaa lo na dil mera sanam
churaa len kyun dil tera sanam
na na na..haan haan haan
na na na na
masala baanT lun main pyaaz kaaT lun
chhuri kidhar gayi Uff hai nal khula huva :p
main keh raha hun kya
tu sun rahi hai kya
tu sun rahi hai kya
main keh rahaa hun kya
tera deewanapan hai ye
O be-khabar kitchen hai ye
ye kyun vahaan uTha dhuvaan
kya jaane kya jal gaya
tere bin na jee sakenge
ki tere bin na mar sakenge
"kuchh bhi na kar sakenge"
churaa lo na dil mera sanam
churaa len kyun dil tera sanam
na jaane kya kaha
kaho na phir zara
kaho na zor se
kaha jo zor se to chaaron aur se
hasenge hum pe sab humaare shor se
karenge baat phir kabhi
jawaab chaahiye abhi
nahin nahin abhi nahin
itni bhi jaldi hai kya
ki tere bin na jee sakenge
ki tere bin na mar sakenge hum soch kar kahenge
achca huva jo pyaar ki pehchaan ho gayi
dete the jis pe jaan vo anjaan ho gayi
mausam to main nahin hun
jo aavunga jaavunga
rooTha jo ek baar to vaapas na aoonga
na na na...na na na
haan haan haan na na na na
churaa lo na dil mera sanam
banaa lo na apna sanam
ki tere bin na jee sakenge
ki tere bin na mar sakenge kuchh bhi na kar sakenge..."
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Jul 2006 2:03:02 AM IST Good Evening Partner...how are you? mera to poocho hi mat, tumhen to pata hai ;) how busy n crazy I am here...I wanted to take a break now and sing some songs here w/you...h
mmm now you got the TR recipe, so you 'gonna prepare it for me too? You know I love it too n if you want to get the real kick outta eating, add some yogurt to the rice while eating...yummmmmmmmy my mouth is waterning already...:(
ok, let me start off with this one...
~~~
"aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
saaz bajaaye mausam aur geet sunaavoon main
aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
saaz bajaaye mausam aur geet sunaavoon main
aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
dharti bheege baahon me baadal ke
patte gaaye raste me peepal ke
panchhi bhanware titli aur hawaayen
apni apni dhun me sab gaaye
iinko sur iinko taal iinko geet kisne sikhaaye
aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
saaz bajaaye mausam aur geet sunaavoon main
aao tumhe ek nayi baat bataavoon main
"girti uThti dil me jo leheren hain
iin me hi to geeton ke dhere hain
aage peechhe jitna ye jeevan hai
meri teri saanson ka aangan hai
roz hi subaah nayi raat nayi sooraj dikhaaye"
aavo tumhen ek nayi baat bataavoon main
saaz bajaaye mausam aur geet sunaavoon main"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 27, Jul 2006 1:28:20 AM IST deal @saath saath...sure, then from now on I ll eat all the sweets for you too :))
haha@home delivery...yeah right ;)
~~~
"vo hain zara kafaa kafaa to nayan yun churaaye hain...ke ho ho ho ho ho
vo hain zara kafaa kafaa to nayan yun churaaye hain...ke ho ho ho ho ho
na bol dun to kya karoon vo hans ke yun bulaaye hain...ke ho ho ho ho ho
hans rahin hai chaandini machal ke ro na dun kahin aise koyi rooTtaa nahin
ye tera khayaal hai kareeb aa mere haseen mujh ko tujh se kutch gilaa nahin
baat yun banaaye hain ke ho ho ho ho ho
vo hain zara kafaa kafaa to nayan yun churaaye hain...ke ho ho ho ho ho
Phool ko mehak mile ye raat rang me Dale mujh pe teri julf Dar khule
tum hi mere sang ho gagan ke chaanv ke tale ye rut yun hi hor tak chale
pyaar yun hi jataaye hain ke ho ho ho ho ho
na bol dun kya karun vo hans ke yun bulaaye hain...ke ho ho ho ho ho
aise mat sataayiye jara taras to khaayiye dil ki dhaDkan mat jagaayiye
kutch nahin kahoonga main na akhDiyaan jhukaayiye sir to kaandhe se uTaayiye
aise neend aaye hain ki ho ho ho ho ho
vo hain zara kafaa kafaa to nayan yun churaaye hain...ke ho ho ho ho ho
vo hain zara kafaa kafaa to nayan yun churaaye hain...ke ho ho ho ho ho"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 26, Jul 2006 1:18:22 AM IST ;) @tamarind rice-may be no one knows how to make it...Next time, when Mom comes, I will have her prepare it and send it to you...:))
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 26, Jul 2006 0:51:49 AM IST :) haan tum list banaake aaraam se peeche aana peeche, main chaloonga aage...I do nt want to miss any kaju katli...then you do not complain if you do nt see any left over katlis ;))
~~~
"ye naina ye kaajal ye julfen ye aanchal
ye naina ye kaajal ye julfen ye aanchal
*khoobsoorat si ho tum gazal*
kabhi dil ho kabhi dhaDkan kabhi shola kabhi shabnam
tum hi ho tum meri humdum
ye naina ye kaajal ye julfen ye aaanchal
khoobsoorat si ho tum gazal
kabhi dil ho kabhi dhaDkan kabhi shola kabhi shabnam
tum hi ho tum meri humdum
zindagi tum meri meri tum zindagi
meri aankhon se dekho meri nazaron se jaano
meri aankhon se dekho meri nazaron se jaano
tum maala hum moti hum deepak tum jyoti
ye naina ye kaajal ye julfen ye aanchal
khoobsoorat si ho tum gazal
kabhi dil ho kabhi dhaDkan kabhi shola kabhi shabnam
tum hi ho tum meri humdum
sapnon ka panghaT ho aasha ka juRmaT ho
sapnon ka panghaT ho aasha ka juRmaT ho
tum nadiyan hum dhaara tum chanda hum taara
ye naina ye kaajal ye julfen ye aanchal
khoobsoorat si ho tum gazal
kabhi dil ho kabhi dhaDkan kabhi shola kabhi shabnam
tum hi ho tum meri humdum
meri saanson se poocho meri aahon ko samjho
meri saanson se poocho meri aahon ko samjho
tum pooja hum pujari tum kismat hum juWaari
ye naina ye kaajal ye julfen ye aanchal
khoobsoorat si ho tum gazal
kabhi dil ho kabhi dhaDkan kabhi shola kabhi shabnam
tum hi ho tum meri humdum
zindagi tum meri meri tum zindagi "
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 26, Jul 2006 0:48:35 AM IST do not tempt me now reminding me those kaju katli n laddoo...India bhaag jaane ka man karta hai :( I know akele gaane may mazaa nahin aata...chalo, now I ll be around for another hour and then gotta run for a meeting @3...
~~~
"choo lene do naazuk honTon ko kuchch aur nahin hai jaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko kuchch aur nahin hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai vo sab se haseen eenaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko...
sharmaa ke na yun hi kho dena rangeen jawaani ki gaDiyaan
sharmaa ke na yun hi kho dena rangeen jawaani ki gaDiyaan
betaab dhaDakte seenon ka armaan bhara paigaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko kuchch aur nahin hai jaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko...
achchon ko buraa sa bid karna duniyaan ki puraani aadat hai
achchon ko buraa sa bid karna duniyaan ki puraani aadat hai
iis mai ko mubaarak cheez samajh maana ke bohut badnaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko kuchch aur nahin hai jaam hai ye
kudrat ne jo hum ko baksha hai vo sab se haseen eenaam hai ye
choo lene do naazuk honTon ko..."
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Jul 2006 11:20:58 PM IST Good Afternoon Partner...how is your day? finished your lunch? It was a busy crazy monday...yes, it is only Tuesday and I am already tired...akele kyun, aa jaavo aaz saath milke gaaynge..mazaa aayega :)
~~~
"aye gul-badan aye gul-badan phoolon ki mehak kaanTon ki chubaan
tujhe dekh ke kehataa hai meraa man kahin aaz kisee se mohabbat naa ho jaaye
kyaa haseen moD par aa gayi zindagaani
ki haqueeqat na ban jaaye meri kahaani
jab aahen bhare ye ThanDi pawan
seene me sulag uThti hai agan
tujhe dekh ke kehataa hai meraa man kahin aaz kisee se mohabbat naa ho jaaye
kyaa ajeeb rang me sah rahin hai khudaayi
ki har ek cheez maalik ne sundar banaayi
nadiyaa ka chamaktaa hai darapaN mukhaDa dekhen sapanon ki dulhan
tujhe dekh ke kehataa hai meraa man kahin aaz kisee se mohabbat naa ho jaaye
main tumhin se yun aankhen milaataa chalaa hun
ki tumhin ko main tum se churaataa chalaa hun
mat poochho meraa diwaanaapan aakaash se uunchi dil ki uDaan
tujhe dekh ke kehataa hai meraa man kahin aaz kisee se mohabbat naa ho jaaye
aye gul-badan aye gul-badan phoolon ki mehak kaanTon ki chubaan
tujhe dekh ke kehataa hai meraa man kahin aaz kisee se mohabbat naa ho jaaye"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Jul 2006 10:21:28 PM IST oye Partner, sorry was busy working...just wrapped up...got all your hiccups, missed you too...we will sing more tomorrow, as it is bed time now...It has been a long day for me...good nite n sweet dreams you too...:)
~~~
"mohabbat ho gayi hain tumse
mohabbat ho gayi hain tumse
kyun pyaar tum se hone laga kyun chain dil ka khone laga
kyun pyaar tum se hone laga kyun chain dil ka khone laga
har ghadi kya kahe
kutch bhi nahin hain pata
kyun pyar tum se hone laga
main chaahun tumhen zindagi ki tarah
sahu gum tumhaare khushi ki tarah
sanam door jaake bhi tum paas ho
meri beqarari ka ehsaas ho
hamesha mujhe jo aaram de wo dard tum ne diya
kyun pyaar tum se hone laga
kyun chain dil ka khone laga
shuru kab kaha apni chahat hui
mujhe tum se dilbar mohabbat huyi
judaa jab huye to ye jaana sanam
bichaD ke to aab jee na payenge hum
main anjaan thi tumhaari kasam
mujhe kyun pata na chala
kyun pyaar tum se hone laga
kyun chain dil ka khone laga
dhadkanen kya kahen
kutch bhi nahin hain pata
kyun pyar tum se hone laga
mohabbat ho gayi hain tum se
mohabbat ho gayi hain tum se"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Jul 2006 8:55:57 AM IST GooD Afternoon Partner...kaise ho? its 3 pm on sunday...hope you finished your lunch? uffo, tumhaari ye hiccups to mujhe sone nahin de rahen the :) aur tum kuch bhi karo, par mere neend ko nazar mat lagaana, samjhe? ;) I see you had a good shopping yesterday...:)
I will be around, working this afternoon...ho sake to aa jaavo, sunday meh-fil banayaange yahan :))
~~~
"aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
mehaki havaayen uDaataa aanchal laT ghunghraale kaale baadal
prem sudhaa nainon se barase pee lene ko jeevan tarase
baahon me Dhans lene de preet ke chumban dene de
iin adharon se chhalak na jaaye iin adharon se chhalak na jaaye
yauvan ras angoori aake teri baahon men...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
preet...behataa saagar tere liye hai roop ke baadal
indradhanush ke rang churaavun teri zulmI maang sajaavun
do phoolon ke khilne kaa vaqt ye hi hai milane kaa
aa jaa milke aaz miTaa den aa jaa milke aaz miTaa den
thoDi si ye doori aake teri baahon me...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me..."
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Jul 2006 0:38:06 AM IST :) yup, when you got free time make best use of it here in TP...eh?;)
~~~
raat nikharee huyi zulf bikharee huyee
har adaa teri phoolon ki Daali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
"ye samaa tham gayaa ye haseen adaayen dekh ke
ye samaa tham gayaa ye haseen adaayen dekh ke
dhaDakanen so gayen ye nasheelee aankhen dekh ke...dekhake"
raat nikharee huyi zulf bikharee huyee
har adaa teri phoolon ki Daali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
"rang bharee mastiyaan ye bahaaron ke kaafilen
rang bharee mastiyaan ye bahaaron ke kaafilen
hum chale tum chale koyi saath saath chal diye...chal diye"
raat nikharee huyi zulf bikharee huyee
har adaa teri phoolon ki Daali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
aaz subah nahin honevaali...aaz subah nahin honevaali
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Jul 2006 2:06:34 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|