
|
|

|
General Forum: Love | | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| kise dhamkaa rahe ho? @kabhi nahin maanungi :p
jhooTa kyun? :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 2:28:52 AM IST I know you ll say this...ab tumko kisne bola main to rani ki baat kar raha tha @be-sharam...tum bhi na :(
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 2:16:44 AM IST haha@sharam nahin aati :) vaise be-sharam ko sharam kahaan se aayegi :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 2:07:40 AM IST YES Boss, aap ke sab hukum hum ne sun liya...you remember this song?
~~~
O meri O meri O meri sharmilee
O meri O meri O meri sharmilee
aavo na tarsaavo na
aavo na tarsaavo na
O meri O meri O meri sharmilee
tera kaajal lekar raat banee raat banee
teri mehandi lekar din vuga din vuga
teri boli sunkar sur jage sur jage
teri khushboo lekar phool khila phool khila
jaaneman tu hai kahan
O meri O meri O meri sharmilee
O meri O meri O meri sharmilee
teri raahon se gujare jab se hum jab se hum
mujhe meri Dagar tak yaad nahin yaad nahin
tujhe dekhha jab se dilruba dilruba
mujhe mera ghar tak yaad nahin yaad nahin
jaaneman tu hai kahan
O meri O meri O meri sharmilee
O meri O meri O meri sharmilee
"o neeraj naina" aa zara aa zara
teri laaz ka ghunghat kholdun kholdun
tere aanchal par koi geeth likhun geet likhun
tere honTon me amrut groludun groludun
jaaneman tu hai kahan
O meri O meri O meri sharmilee
O meri O meri O meri sharmilee
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 1:50:12 AM IST YES, of course...:)
~~~
aap ki nazaron ne samjhaa pyaar ke kaabil mujhe
dil ki aye dhaDkan Thahar jaa mil gayee manzil mujhe
aap ki nazaron ne samjhaa...
jee humen manzoor hai aap ka ye faislaa
jee humen manzoor hai aap ka ye faislaa
keh rahi hai har nazar bandaa-parvar shukriyaa
hanste apni zindagi me kar liya shaamil mujhe
dil ki aye dhaDkan Thahar jaa mil gayee manzil mujhe
aap ki nazaron ne samjhaa...
"aap ki manzil hun main meri manzil aap hain
aap ki manzil hun main meri manzil aap hain
kyun main toofaan se Darun mera saahil aap hain
koyi toofaanon se keh de mil gayaa saahil mujhe
dil ki aye dhaDkan Thahar jaa mil gayee manzil mujhe"
aap ki nazaron ne samjhaa...
paD gayi dil par mere aap ki parchhaaiyaan
paD gayi dil par mere aap ki parchhaaiyaan
har taraf bajane lagee saikaDon shehanaaiyaan
do jahaan ki aaz khushiyaan ho gayi haasil mujhe
aap ki nazaron ne samjhaa pyaar ke kaabil mujhe
dil ki aye dhaDkan Thahar jaa mil gayee manzil mujhe
aap ki nazaron ne samjhaa...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 1:11:10 AM IST mistake that I never regret about ;-)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 0:43:09 AM IST arre, I was teasing baba...chalo maan jaavo ab:) I m sure this song will bring smiles on your face...:)
~~~
dil kya karen jab kisi se kisi ko pyaar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko kisi se pyaar ho jaaye
voonchi voonchi diwaaron si is duniyaa ki rasme
ho na kuchch tere bas me julie na kuchch mere bas me
dil kya karen jab kisi se kisi ko pyaar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko kisi se pyaar ho jaaye
jaise parvat pe ghaTa jhukti hai
jaise saagar se lehar uThti hai
aise kisi chehre pe nigaah rukti hai
jaise parvat pe ghaTa jhukti hai
jaise saagar se lehar uThti hai
aise kisi chehre pe nigaah rukti hai
rok nahin sakti nazaron ko duniyaa bhar ki rasme
na kuchch tere bas me julie na kuchch mere bas me
dil kya karen jab kisi se kisi ko pyaar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko kisi se pyaar ho jaaye
aa main teri yaad me sab ko bhulaa dun
duniyaa ko teri tasveer banaa dun
mera bas chale to dil cheer ke dikhaa dun
aa main teri yaad me sab ko bhulaa dun
duniyaa ko teri tasveer banaa dun
mera bas chale to dil cheer ke dikhaa dun
ho dauD raha hai saat lahun ke pyaar tera naS naS me
na kuchch tere bas me julie na kuchch mere bas me
dil kya karen jab kisi se kisi ko pyaar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko kisi se pyaar ho jaaye
voonchi voonchi diwaaron si is duniyaa ke rasme
na kuchch tere bas me julie na kuchch mere bas me
dil kya karen jab kisi se kisi ko pyaar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko kisi se pyaar ho jaaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Aug 2005 0:02:41 AM IST aage kuch nahin hoga...gar main sawaal hi na karun to tumko ghumaane ka mauka nahin milega, so its cool...:p
~~~
beqaraar kar ke humen yun na jaayiye
aap ko humaare kasam lauT aayiye
beqaraar kar ke humen yun na jaayiye
aap ko humaare kasam lauT aayiye
dekhiye vo kali kali badaliyan
julf ki ghaTa chura na le kahin
choori choori aankhen shokh bijaliyan
aap ki ada chura na le kahin
yun kadam akele na aage baDaayiyen
aap ko humare kasam lauT aayiye
beqaraar kar ke humein yun na jaayiye
aap ko humare kasam lauT aayiye
dekhiye gulaab ki vo Daaliyan
baDke choom le na aapke kadam
dekhiye gulaab ki vo Daaliyan
baDke choom le na aapke kadam
khoye khoye bhanwar bhi hai baagh me
koi aap ko bana na le sanam
behaki behaki nazaron se khud ko bachayiye
aap ko humare kasam lauT aayiye
beqaraar kar ke humen yun na jaayiye
aap ko humare kasam lauT aayiye
zindagi ke raaste azeeb hai
in me is tarah chala na keejiye
khair hai isi me aap ki huzoor
apna koi saathi DoonD leejiye
din ke din ki baat yun na muskuraayiye
aap ko humare kasam lauT aayiye
beqaraar kar ke humein yun na jaayiye
aap ko humare kasam lauT aayiye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 11:53:24 PM IST tum se kuch poochun kaise? tum to ghumaa phiraa ke jawaab jo deti ho ;) simple n straight answer kabhi nahin deti ho :)
~~~
jaane kaise sapanon me kho gayee aakhiyaan
main to hun jaagee more so gayee aakhiyaan
azab deewaanee bhayee moh se anjaanee bhayee
pal me paraayee dekho ho gayee aakhiyaan
jaane kaise sapanon me kho gayee aakhiyaan
main to hun jaagee more so gayee aakhiyaan
barse ye kaise dhaaraa kaanpe tan-man saaraa
rang se ang bheego gayee aakhiyaan
jaane kaise sapanon me kho gayee aakhiyaan
main to hun jaagee more so gayee aakhiyaan
man ujiyaaraa chhaayaa jag ujiyaaraa chhaayaa
zagamag deep sanjo gayee aakhiyaan
jaane kaise sapanon me kho gayee aakhiyaan
main to hun jaagee more so gayee aakhiyaan
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 11:35:34 PM IST I m back...see, I did survive your answer n feel like singing this now ;)
~~~
jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchh bol do arre o dil ka pardaa khol do
jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchh bol do arre o dil ka pardaa khol do
jab pyaar kisi se hotaa hai to dard sa dil men hotaa hai
tum ek haseen ho laakhon me bhalaa paake tumhe koyee khota hai
jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchh bol do
nazaron se jitane teer chale chalane do jigar par jhelenge
iin pyaar ki ujali raahon par hum jaan ki baazi khelenge
iin do nainon ke saagar me koyee dil ki naiyaa Dubotaa hai
o jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchha bol do arre o dil ka pardaa khol do
tum bhi to iis aag me jalte ho chehare se bayaan ho jaataa hain
har baat pe aahen bharate ho har baat pe dil tharraataa hai
jab dil pe chhuriyaan chalati hain to chayan se koyee sotaa hai
o jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchha bol do arre o dil ka pardaa khol do
o jiyaa o jiyaa o jiyaa kuchha bol do arre o dil ka pardaa khol do
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 22, Aug 2005 11:06:00 PM IST
|
|
|
 |
| Advertisements |
|
|
 |
 |
| Advertisements |
|