
|
|

|
General Forum: Love | | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| Priya, that's ok...kabhi kabhi to kaam bhi karna chaahiye...remember "Work is God"...:p You can sing when you are free...
~~~
kahin na jaa aaz kahin mat jaa
phir mile na mile ye pal ye shamaa baahon me aa jaa
kahin na jaa aaz kahin mat jaa
phir mile na mile ye pal ye shamaa baahon me aa jaa
kahin na jaa aaz kahin mat jaa
ye jo bas me kadam nahin tere
main sanvaarungi duva sang tere tere dil ki manzil hai yahaan
main sanvaarungi duva sang tere tere dil ki manzil hai yahaan
jaan-e-vafaa sach hai kis ko pataa phir mile na mile
ye pal ye shamaa baahon me aa jaa
meri raahon ka diyaa teri aankhen
mere gum ki davaa teri baaten
to phir aur jaanaa hai kahaan
meri raahon ka diyaa teri aankhen
mere gum ki davaa teri baaten
to phir aur jaanaa hai kahaan
kahin na jaa aaz kahin mat jaa...
"uljhan teri main sab jaanun
tujhe teri tarah pehachaanun
jo main hun to gum kyun jaan-e-jaan
ho jab dil huva jab teraa diwaanaa
Thokar me hai saaraa zamaanaa meraa kyaa karegaa ye jahaan"
jaan-e-vafaa sach hai kis ko pataa phir mile na mile baahon me aa jaa
kahin na jaa aaz kahin mat jaa...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 5, Aug 2005 1:28:55 AM IST hmmm well I can guess that n I do not need my hat @well I sing but not in movies...
btw, when do I get to hear those songs;)
smiles is an understatement@u must be all smiles rite now :p
~~~
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
lagta hai Darr ye baat ye dil ki dil me na reh jaaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
lagta hai Darr ye baat ye dil ki dil me na reh jaaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
tum suno gaur se kya keh raha hai samaa
humnashee chheD do chaahat bhari dastaan
kitne dinon tak kuchh na bataaye tum hum ko taDpaaye
hum tumse na kuchh keh paaye tum humse na kuchh keh paaye
"pyaar kya hai sanam tum humko samjhaa gaye
faasle na rahen itne kareeb aa gaye
dekho humaari khushboo tumhaari saanson ko mehkaaye"
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
raat bhar jaag kar karvaT badalte the hum
kya kahen kis tarah dilbar machalte the hum
kaise bataayen tanhaa akele hum kitna ghabhraaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
lagta hai Darr ye baat ye dil ki dil me na reh jaaye
hum tum se na kuchh keh paaye tum hum se na kuchh keh paaye
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 8:16:37 PM IST GooDMorning Priya...I am good n you? not a bad start @Madhuri's song...But I prefer you know who? :p here it is...
~~~
ho cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
tu kya jaane teri khaatir kitanaa hai betaab ye dil
tu kya jaane dekh rahaa hai kaise kaise khwaab ye dil
dil kehataa hai...tu hai yahaan to jaataa lamhaa tham jaaye
vaqt ka dariyaa behate behate iis manjar me jam jaaye
tu ne diwaanaa dil ko banaayaa iis dil pe ilzaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
"ho aaz main tujh se door sahi aur tu mujh se anjaan sahi
tera saath nahin paavun to gair tera aramaan sahi
ye aramaan hain shor nahin ho khaamoshi ke mele ho
iis duniya me koyi nahin ho hum donon hi akele ho
tere sapane dekh rahaa hun aur meraa aab kaam hai kya "
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
cheharaa hai ya chaand khilaa hai zulf ghaneri shaam hai kyaa
saagar jaisi aankhon vaali ye to bataa tera naam hai kyaa
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 7:52:01 PM IST Bye Priya, Have a good evening...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 2:43:26 AM IST ***(m)tirchi nazar se*** you mean ? ;)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 2:07:45 AM IST neele ambar ke tale do yahan saath mile
jhalke jhalke armaan milaake lekar basaane ghar chale
neele ambar ke tale do yahan saath mile
jhalke jhalke armaan milaake lekar basaane ghar chale
neele ambar ke tale...
har ghaDi bin raina chain aab aaye na
man kahen mera saathi aab kahin jaaye na
ye milan me koyi aab shaam na Dhale
neele ambar ke tale do yahan saath mile
jhalke jhalke armaan milaake lekar basaane ghar chale
neele ambar ke tale...
zindagi me aise din kabhi aate hain
rasmon ke bandhan me meet bandh jaate hain
phir majaake uThe hain tan ke phool khilen
neele ambar ke tale do yahan saath mile
jhalke jhalke armaan milaake lekar basaane ghar chale
neele ambar ke tale...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 1:34:27 AM IST :)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 4, Aug 2005 1:32:46 AM IST so which is true in your case? :p
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Aug 2005 9:55:12 PM IST ...n in which case I like to explain everything by giving you my benifit of doubt :) jaise kehte hai na ke bachchon ko har cheez samajh me nahin aata ;)
~~~
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
ye sardi ka mausam badan kaanpe thar-thar
ye sardi ka mausam badan kaanpe thar-thar
ye hai barf ke dher ya sang-e-marmar
banaa le na kyun apni jannat yahaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
ye oonche pahaaDon ke magroor saaye
ye kehte hai uun ko nazar to milaaye
ye kehte hai uun ko nazar to milaaye
farishten bhi hai iis jagah be-zubaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
na parda hai koyi na hai koyi chilman
jahaan paanv rakh de hai phislan hi phislan
kadam chhoD te jaa rahe hai nishaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
mohabbat ki duniya hai kitni jawaan
ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Aug 2005 9:39:37 PM IST you did nt get the gist here :( @pyaar main nahaane ko...meaning ka satyanaash kar diya tum ne...paani ho ya na ho, pyaar me akele nahin nahaate, thats the meaning the lyricist trying to convey here...;)
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 3, Aug 2005 9:21:25 PM IST
|
|
|
 |
| Advertisements |
|
|
 |
 |
| Advertisements |
|