
|
|

General Forum: Love | ~~~~~~~~~~ Memorable Songs (Hindi) ~~~~~~~~~~ | |
| btw, what are you lunch'ing?
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Mar 2006 0:59:53 AM IST lo ek aur list @Not Allowed list :O...list banaana to koyi tum se seekhen...:-) let us keep all your lists in the back 'burner', haha ;-)
~~~
"kahin karti hogi vo mera intzaar
jis ki tamannaa me phirtaa hun bekaraar
kahin karti hogi vo mera intzaar
jis ki tamannaa me phirtaa hun bekaraar
door julfon ki chaavon se kehta hun main gavaavon se
uusi but ki adaavon ke afsaane hazaar
vo jo baahon me machal jaati hasrat hi nikal jaati
meri duniyaa badal jaati mil jaata karaar
kahin karti hogi vo mera intzaar
jis ki tamannaa me phirtaa hun bekaraar
armaan hai koyi paas aaye iin haathon me vo haath aaye
phir kwaabon ki ghaTa chaaye barsaayen khumaar
phir uun hi din raaton pe matwaali mulaakaaton pe
ulfat bhari baaton pe hum hote nisaar
kahin karti hogi vo mera intzaar
jis ki tamannaa me phirtaa hun bekaraar
jis ki tamannaa me phirtaa hun bekaraar"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Mar 2006 0:59:07 AM IST humaare na soch ka ye anzaam, ye hum ne kabhi nahin socha ;-)kya karen jaise aap ki marzi...small change though, I ll wear my head phones than cotton balls :-)
~~~
"aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
mehaki havaayen uDaataa aanchal laT ghunghraale kaale baadal
prem sudhaa nainon se barase pee lene ko jeevan tarase
baahon me Dhans lene de preet ke chumban dene de
iin adharon se chhalak na jaaye iin adharon se chhalak na jaaye
yauvan ras angoori aake teri baahon men...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me...
preet...behataa saagar tere liye hai roop ke baadal
indradhanush ke rang churaavun teri zulmI maang sajaavun
do phoolon ke khilne kaa vaqt ye hi hai milane kaa
aa jaa milke aaz miTaa den aa jaa milke aaz miTaa den
thoDi si ye doori aake teri baahon me...
aake teri baahon me har shaam lage sindoori
mere man ko mehakaayaa mere man ko mehakaayaa
tere man ki kastoori aake teri baahon me..."
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 25, Mar 2006 0:35:40 AM IST @sab tumhaara hi samjho, my lucky day eh? teek hai vaisa hi samjhoonga aab se to :-) beware, wear no high heel only flat heel, humen 'tak tak' awaaz nahin mangtaa hai :-D
~~~
kya ye hi pyaar hai
haan ye hi pyaar hai
dil tere bin kahin lagta nahin vaqt guzartaa nahin
kya ye hi pyaar hai
haan ye hi pyaar hai
dil tere bin kahin lagta nahin vaqt guzartaa nahin
kya ye hi pyaar hai
haan ye hi pyaar hai
pehle main samjha kutch aur vajah iin baaton ki
lekin ab jaana kahan neend gayi meri raaton ki
jaagte rehti hun main bhi chaand nikalta nahin
dil tere bin kahin lagta nahin vaqt guzartaa nahin
kya ye hi pyaar hai ... bolo na
haan ye hi pyaar hai
kaise bhoolungi tu yaad humesha aayega
tere jaane se jeena mushkil ho jaayega
ab kutch bhi dil pe koi zor to chalta nahin
dil tere bin kahin lagta nahin vaqt guzartaa nahin
kya ye hi pyaar hai ... bolo na
haan ye hi pyaar hai
jaise Phoolon ke mausam me ye dil khilte hai
premi aise hi kya pathjhar me bhi milte hai
rut badle duniyaan badle pyaar badalta nahin
dil tere bin kahin lagta nahin vaqt guzartaa nahin
kya ye hi pyaar hai... bolo na
haan ye hi pyaar hai...
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Mar 2006 11:57:53 PM IST TGIF afternoon Partner :) how are you? haaye tum sachi me mere bills pay karoge kya? chalo before you change your mind, gimme your address n let me forward you all my bills ;-) or better yet we can set up auto bill-pay from your account, what say? achcha jee, ye bataavo ke tum mere sar kab nahin khaate ho? :-p ab vo 'tak tak' awaaz ki naam mat lo mere saamne, you know how I feel about those noises...
I am already in weekend mehfil mood n so here I am with my first song :-)
~~~
ruk jaa o jaane vaali ruk jaa
main to raahin teri manzil ka
nazaron me teri main buraa sahin
aadami buraa nahin main dil ka...aadami buraa nahin main dil ka
dekhaa hi nahin tujh ko soorat bhi na pehachaani
tu aake chalee chham se yun Doobke din paani... yun Doobke din paani
ruk jaa o jaane vaali ruk jaa
main to raahin teri manzil ka
muddat se mere dil ke sapanon ki tu raaNi hai
aab tak na mile lekin pehachaan puraani hai...pehachaan puraani hai
ruk jaa o jaane vaali ruk jaa
main to raahin teri manzil ka
aa pyaar ki raahon me baahon ka sahaaraa le
duniyaa jise gaati hai uus geet ko doharaa le...uus geet ko doharaa le
ruk jaa o jaane vaali ruk jaa
main to raahin teri manzil ka
nazaron me teri main buraa sahin
aadami buraa nahin main dil ka...aadami buraa nahin main dil ka
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Mar 2006 11:37:29 PM IST @aur tumhe kaam karne dena ya nahin woh mere mood pe hai, then you shoud be paying my bills :-p
nope I do nt know, abhi bataa do ke why should I be singing that song? ;-)
~~~
"hum ne to dil ko aap ke kadamon pe rakh diyaa
hum ne to dil ko aap ke kadamon pe rakh diyaa
iis dil ka kyaa karenge ye aab aap sochiye
hum aap ke vaFaa ki kasam khaa rahen hain aaz
hum aap ke vaFaa ki kasam khaa rahen hain aaz
ahad-e-vaFaa karenge ye aab aap sochiye
jab dil se hum ne joD liyaa dil ka silsilaa
jab dil se hum ne joD liyaa dil ka silsilaa
aage hai kyaa naseeb me jaane meri balaa
joDaa jab aap hi se mohabbat ka Faisalaa
kyaa Faisalaa karenge aab aap sochiye
hum ne to dil ko aap ke kadamon pe rakh diyaa
iis dil ka kyaa karenge ye aab aap sochiye
"chaahat ka aitbaar hai kitanaa haseen kwaab
aise me kaun maange kisee baat ka jawaab
jab aap hi ke haath hai taqdeer ki kitaab
kyaa kyaa likha karenge aab aap sochiye"
hum ne to dil ko aap ke kadamon pe rakh diyaa
hum ne to dil ko aap ke kadamon pe rakh diyaa
iis dil ka kyaa karenge ye aab aap sochiye "
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Mar 2006 2:55:51 AM IST Good Afternoon Partner, how have you been? acha ji, aap ye saare sawaal jaan-boochke poochte hain? aab se main aap ke har ek sawaal ko pehle poochke jawaab doonga;-) chaliye, got some free time now varna aap aise hi kaam karne nahin dete hain, duniya bhar ki sawaalon se mere sar khaate rehte hain :-p lets start the meh-fil now...:)
btw, 'jhilmil sitaaron ka' is a nice song...
~~~
"man ki beena ki dhun tu balam aaz sun
meri nazaron ne tujh ko liyaa aaz chun
man ki bina ki dhun tu balam aaz sun
meri nazaron ne tujh ko liyaa aaz chun
man ki beena ki dhun tu balam aaz sun
meri dil ki lagee tu meri zindagi tu
meri har nazaara hai teri daastaan
meri dil ki lagee tu meri zindagi tu
meri har nazaara hai teri daastaan
mere dil ki bahaaren tumhin ko pukaaren
tumhin se hai aabaad meraa jahaan
mere dil ki bahaaren tumhin ko pukaaren
tumhi se hai aabaad meraa jahaan
tu meraa naaz hai meraa andaaz hai dil ki awaaz hai
meri neendon me tum mere kwaabon me tum
ho chuke hum tumhaari mohabbat me gum
man ki beenaa ki dhun tu balam aaz sun
meri nazaron ne tujh ko liyaa aaz chun
man ki beenaa ki dhuna tu baalam aaz sun"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 23, Mar 2006 2:16:28 AM IST you better know the answer to that question ;-) chalo, I am heading out for the weekend...You have a wonderful weekend ahead...
jaate jaate ek aur Sahir saab ke romantic gaana Rafi saab ke awaaz me...deadly combination, sachi me kya khayamat hai iis gaane me...the description of his lover who is soaking wet in the rain in a touchy romantic way :-) aaaaah la-jwaab
~~~
"zindagi bhar nahin bhoolegi vo barsaat ki raat
ek anjaan haseena se mulaakaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi
*hai vo reshmi julfon se barstaa paani
hai vo reshmi julfon se barstaa paani
phool se gaalon pe rukne ko tarastaa paani
dil me toofan uThaate huye...
dil me toofan uThaate huye jazbaat ki raat*
zindagi bhar nahin boolegi...
*Dar se bizali se achaanak vo lipaTna us ka
aur phir shaRm se balkhaake simaTna uus ka
kabhi dekhee na sunee aisi ho...
kabhi dekhee na sunee aisi dil sumaat ki raaat*
zindagi bhar nahin boolegi...
*surkh aanchal ko dabaa kar jo nichoDa us ne
surkh aanchal ko dabaa kar jo nichoDa us ne
dil pe jaltaa huva ek teer sa choDaa uus ne
aag paani me lagaate huye...
aag paani me lagaate huye haalaat ki raat*
zindagi bhar nahin bhoolegi...
*mere nagmon me jo basti hai vo tasveer thi vo
nau jawaani ki haseen kwab ki taaver thi vo
aasmanon se utar aaye ho...
aasmanon se utar aaye thi jo raat ki raat*
zindagi bhar bhoolegi vo barsaat ki raat
zindagi bhar bhoolegi vo barsaat ki raat"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Mar 2006 3:46:49 AM IST vo Sahir saab ka likha huva geet hai...he is considered one of the great romantic Urdu poets n writers of the modern time...ye bhi uunhi ka likha huva hai...needless to stress, he is truly romantic at heart:)
~~~
"door rehkar na karo baat kareeb aa jaavo
door rehkar na karo baat kareeb aa jaavo
yaad reh jaayegi ye raat kareeb aa jaavo
ek muddat se tamanna thi tumhen choone ki
ek muddat se tamanna thi tumhen choone ki
aaz bas me nahin jazbaat kareeb aa jaavo
aaz bas me nahin jazbaat kareeb aa jaavo
door rehkar na karo baat kareeb aa jaavo
sard jhonkon se baDkhte hain badan me shole
sard jhonkon se baDkhte hain badan me shole
jaan le legi ye barsaat kareeb aa jaavo
jaan le legi ye barsaat kareeb aa jaavo
door rehkar na karo baat kareeb aa jaavo
iis kadar hum se jijakhne ki jaroorat kya hai
iis kadar hum se jijakhne ki jaroorat kya hai
Zindagi barka hai ab saath kareeb aa jaavo
Zindagi barka hai ab saath kareeb aa jaavo
yaad reh jaayegi ye raat kareeb aa jaavo
door rehkar na karo baat kareeb aa jaavo"
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Mar 2006 3:15:40 AM IST I like this one better from that movie :-)
~~~
' kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai
"kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai
ke jaise tujh ko banaaya gaya hai mere liye
ke jaise tujh ko banaaya gaya hai mere liye
tu aab se pehle sitaaron me bas raheen thi kahin
tu aab se pehle sitaaron me bas raheen thi kahin
tujhe zameen pe bulaaya gaya hai mere liye
tujhe zameen pe bulaaya gaya hai mere liye"
kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai
ke ye badan ye nigaahen meri amaanat hai
ke ye badan ye nigaahen meri amaanat hai
ye gesuvon ki ghani chaanv hai meri Khaatir
ye honT aur ye baahen meri amaanat hai
ye honT aur ye baahen meri amaanat hai
kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai
ke jaise bajti hain shehnaayiyaan si raahon me
ke jaise bajti hain shehnaayiyaan si raahon me
suhaag raat hai ghoonghaT uTha rahaa hun main
suhaag raat hai ghoonghaT uTha rahaa hun main
simaT raheen hai tu sharmaa ke apni baahon me
simaT raheen hai tu sharmaa ke apni baahon me
kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai
ke jaise tu mujhe chaahegi umaRR bhar yun hi
uThegi meri taraF pyaar ki nazar yun hi
main jaanta hun ke tu gair hai magar yun hi
main jaanta hun ke tu gair hai magar yun hi
kabhi kabhi mere dil me Khayaal aata hai '
Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 18, Mar 2006 2:40:46 AM IST
|
|
|
 |
Advertisements |
|
 |
 |
Advertisements |
|