Discussion on Love in General Forum at TeluguPeople.com
TeluguPeople
  are the trend-setters

 
General Forum: Love
Jab dil akela ho ♪♪♪
< < Previous   Page: 9 of 29   Next > >  


Now you can Read Only. Login to post messages
Email ID:
Password:
Remember me on this computer
"o meri jaan o meri jaan aab nahin rehnaa tere binaa o meri jaan o meri jaan aab nahin rehnaa tere binaa haari main tujh se munh pher ke aanKhen Khuli par zaraa der se koyi mera tujh saa kahan aab nahin rehnaa tere binaa tu hai to Thokar Khaa lungi main kaanTon me jeevan bitaa lungi main le chal mujhe chaahe jahaan aab nahin rehnaa tere binaa jis din se deKhaa yaaraa tujhe manzil manzil pukaaraa tujhe tere sivaa jaanaa kahaan aab nahin rehanaa tere binaa o meri jaan o meri jaan aab nahin rehnaa tere binaa o meri jaan o meri jaan aab nahin rehnaa tere binaa "

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 13, Jan 2006 7:03:07 AM IST
" raat bhi hai kuchch bheegi-bheegi chaand bhi hai kuchch maddham-maddham tum aavo to aankhen kholen soyi huyi paayal ki chham chham kisko bataayen kaise bataayen aaz ajab hai dil kaa aalam chain bhi hai kuchch halkaa halkaa dard bhi hai kuchch maddham maddham chham-chham...chham-chham...chham-chham...chham-chham raat bhi hai kuchch bheegi-bheegi chaand bhi hai kuchch maddham-maddham tum aavo to aankhen kholen soyi huyi paayal ki chham chham tapate dil par yun girti hai teri nazar se pyaar ki shabanam jalte huye jangal par jaise barkhaa barse ruk-ruk tham-tham chham-chham...chham-chham...chham-chham...chham-chham raat bhi hai kuchch bheegi-bheegi chaand bhi hai kuchch maddham-maddham tum aavo to aankhen kholen soyi huyi paayal ki chham chham hosh me thoDi be-hoshi hai be-hoshi me hosh hai kam kam tujh ko paane ki koshish me donon jahaan se kho gaye hum chham-chham...chham-chham...chham-chham...chham-chham raat bhi hai kuchch bheegi-bheegi chaand bhi hai kuchch maddham-maddham tum aavo to aankhen kholen soyi huyi paayal ki chham chham "

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 12, Jan 2006 5:53:13 AM IST
" ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan mohabbat ki duniya hai kitni jawaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan mohabbat ki duniya hai kitni jawaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan ye sardi ka mausam badan kaanpe thar-thar ye sardi ka mausam badan kaanpe thar-thar ye hai barf ke dher ya sang-e-marmar banaa le na kyun apni jannat yahaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan mohabbat ki duniya hai kitni jawaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan ye oonche pahaaDon ke magroor saaye ye kehte hai uun ko nazar to milaaye ye kehte hai uun ko nazar to milaaye farishten bhi hai iis jagah be-zubaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan mohabbat ki duniya hai kitni jawaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan na parda hai koyi na hai koyi chilman jahaan paanv rakh de hai phislan hi phislan kadam chhoD te jaa rahe hai nishaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan mohabbat ki duniya hai kitni jawaan ye khaamoshiyaan ye tanhaayiyaan "

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 11, Jan 2006 7:33:49 AM IST
ek andhera laakh sitaaren ek nirasha,laakh sahare sab se baDi sogaat hai jeevan naadaan hai jo jeevan se haare duniya ki hai bagiya aisi jitne kaanTe Phool bhi utne daaman me khud aajayege jin ki taraf tu haath baDhaade beete huye kal ki khaatir aanewala kal mat khona jaane kaun kaha se aakar raahen teri phir se sanware "dukh se agar pehchaan na ho to kaisa sukh aur kaisi khushiya toofaanon se laD kar hi to lagte hai saahil itne pyaare" ek andhera laakh sitaaren ek nirasha,laakh sahare sab se baDi sogaat hai jeevan naadaan hai jo jeevan se haare

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 7, Jan 2006 10:11:13 PM IST
dil na ummeed to nahin naakaam hi to hai lambi hai gum ki shaam magar shaam hi to hai ye safar bahut hai kaThin magar na udaas ho mere humsafar ye sitam ki raat hai Dhalane ko hai andhera gum ka pighalne ko zaraa der iis me lage agar na udaas ho mere humsafar nahin rehanevaali ye mushkilen ye hain agale moD pe manzilen meri baat ka tu yakeen kar na udaas ho mere humsafar kaBhi DhoonDh legaa ye kaaravaan vo nayee zameen nayaa aasmaan jise DhoonDhti hai teri nazar na udaas ho mere humsafar ye safar bahut hai kaThin magar na udaas ho mere humsafar

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 6, Jan 2006 7:22:27 PM IST
akele hain chale aavo jahan ho akele hain chale aavo jahan ho kahan awaaz de tum ko kahan ho akele hain chale aavo jahan ho tumhe hum DoonDte hain humen dil DoonDta hai tumhe hum DoonDte hain humen dil DoonDta hai na aab manzil hain koyi na koyi raasta hai akele hain chale aavo jahan ho kahan awaaz de tum ko kahan ho "ye tanhaayi ka aalam aur iis par aap ka gum ye tanhaayi ka aalam aur iis par aap ka gum na jeete hain na marte bataavo kya karen hum" akele hain chale aavo jahan ho kahan awaaz de tum ko kahan ho akele hain chale aavo jahan ho

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 30, Dec 2005 1:34:53 AM IST
ye raat jaise dulhan ban gayi hai chiraagon se karoongaa ujaalaa main dil ke daagon se aaz ki raat mere dil ki salaami le le...dil ki salaami le le kal teri bazm se diwaanaa chalaa jaayegaa shammaa reh jaayegi parwaanaa chalaa jaayegaa teri mehfil tere jalave ho mubaarak tujh ko teri ulfat se nahin aaz bhi inkaar mujhe tera mai-khaanaa salaamat rahen aye jaan-e-vafaa muskuraakar tu zaraa dekh le ek baar mujhe phir tere pyaar ka mastaanaa chalaa jaayegaa main ne chaahaa ki bataa dun main haqueqat apani tu ne lekin na meraa raaz-e-mohabbat samjhaa meri uljhan mere haalaat yahaan tak pahunche teri aankhon ne mere pyaar ko nafrat samjhaa aab teri raah se begaanaa chalaa jaayegaa "tu mera saath na de raah-e-mohabbat me sanam chalte-chalte main kisee raah pe muD jaavungaa kehakashaan chaand sitaare tere choomenge kadam tere raste ki main ek dhool hun uDh jaavungaa saath mere meraa afsaanaa chalaa jaayegaa" aaz ki raat mere dil ki salaami le le...dil ki salaami le le kal teri bazm se diwaanaa chalaa jaayegaa shammaa reh jaayegi parwaanaa chalaa jaayegaa

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 29, Dec 2005 0:25:22 AM IST
aap yun faaslon se gujarte rahen aap yun faaslon se gujarte rahen dil se kadmon ki aawaaz aati rahen aahaTon ke andhere chamakte rahen raat aati rahi raat jaati rahi...aap yun gun-gunaati rahi meri tanhaayiyaan door bajti rahi kitani shehnaayiyaan zindagi zindagi ko bulaati rahi aap yun faaslon se gujarte rahen dil se kadmon ki aawaaz aati rahen...aap yun katra katra pighaltaa rahaa aasmaan katra katra pighaltaa rahaa aasmaan ro ruki vaadiyon me na jaane kaha ek nadi ek nadi dilrubaa ki gaati rahi aap yun faaslon se gujarte rahen dil se kadmon ki aawaaz aati rahen...aap yun aap ke garm baahon me kho jaayenge aap ke narm jaanon pe so jaaynge...so jaayenge muddaton raat neenden churaati rahin aap yun faaslon se gujarte rahen dil se kadmon ki aawaaz aati rahen...aap yun...aap yun

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 28, Dec 2005 4:52:53 AM IST
dukhi man mere sun mera kehna jahan nahin chaina vahan nahin rehna dard hamaara koyi na jaane apni garaj ke sab hain deeWane kiske aage rona roYen des paraaya log be-gaane dukhi man mere sun mera kehna "laaKh yahan joli phailaale kuch nahin denge iis jagvaale paththar ke dil mom na honge chaahe jitna neer bahaale" duKhi man mere sun mera kehna apne liye kab hain ye mele hUm hain har ek mele me akele kya paayegaa iis me rehkar jo duniyaa jeevan se khele dukhi man mere sun mera kehna jahan nahin chaina vahan nahin rehna dukhi man mere sun mera kehna...

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 24, Dec 2005 2:45:50 AM IST
chamakate chaand ko TooTaa huva taaraa banaa Daalaa meri aawaaragi ne mujh ko aawaaraa banaa Daalaa chamakate chaand ko TooTaa huva taaraa banaa Daalaa meri aawaaragi ne mujh ko aawaaraa banaa Daalaa ye hi aaGaaz thaa meraa ye hi anjaam honaa tha mujhe barbaad honaa thaa mujhe naakaam honaa thaa meri taqdeer ne mujh ko, taqdeer ka maaraa banaa Daalaa chamakate chaand ko TooTaa huva taaraa banaa Daalaa meri aawaaragi ne mujh ko aawaaraa banaa Daalaa baDaa dilkash baDaa rangeen hai ye shahar kehate hain yahaan par hain hazaaron ghar gharon me log rehate hain mujhe iis shahar ki galiyon ka banjaaraa banaa Daalaa chamakate chaand ko TooTaa huva taaraa banaa Daalaa meri aawaaragi ne mujh ko aawaaraa banaa Daalaa chamakate chaand ko TooTaa huva taaraa banaa Daalaa meri aawaaragi ne mujh ko aawaaraa banaa Daalaa

Posted by: Mr. Rahul Siddharth At: 20, Dec 2005 11:01:49 PM IST
< < Previous   Page: 9 of 29   Next > >  
 
Advertisements
Advertisements
Advertisements
Beauty and Skin Care
For all your favorite branded products of Beauty, Skin Care, Perfumes, Makeup and more!
News
Headline News
Cinema News
Business
Special Stories
Devotion
NRI News
Social Media
Facebook
Movie Gallery
Devotional Gallery
Twitter
Photo Galleries
News Gallery
Cinema Gallery
Beauty Gallery
Fashion Gallery
Sports Gallery
Travel Gallery
Devotion
Classifieds
Jobs
Real Estate
Automobile
Personals

Search TeluguPeople.com

(C) 2000-2025 TeluguPeople.com, All Rights Reserved.